had se apni ye zara aur badi hone mein | हद से अपनी ये ज़रा और बड़ी होने में

  - anupam shah

had se apni ye zara aur badi hone mein
toot jaati hai imarat ye khadi hone mein

mujhse ik roz milega ye kaha hai usne
ab to sadiyaan hi lagengi vo ghadi hone mein

mas'ala ye ki mohabbat ko chhupaaye kaise
baat lagti hi nahi baat badi hone mein

tootaa yun hi nahi hai yahaan koi rishta
waqt lagta hai ye deewaar khadi hone mein

हद से अपनी ये ज़रा और बड़ी होने में
टूट जाती है इमारत ये खड़ी होने में

मुझसे इक रोज़ मिलेगा ये कहा है उसने
अब तो सदियां ही लगेंगी वो घड़ी होने में

मसअ'ला ये कि मोहब्बत को छुपायें कैसे
बात लगती ही नही बात बड़ी होने में

टूटता यूँ ही नही है यहां कोई रिश्ता
वक़्त लगता है ये दीवार खड़ी होने में

  - anupam shah

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by anupam shah

As you were reading Shayari by anupam shah

Similar Writers

our suggestion based on anupam shah

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari