baat yah aql mein kab aayegi nadaanon ki | बात यह अक़्ल में कब आएगी नादानों की, - A R Sahil "Alig"

baat yah aql mein kab aayegi nadaanon ki
mit nahin sakti hai hasti tere deewaanon ki

deen ki rassi ko thaame rahein mazbooti se
zimmedaari hai yahi aaj musalmaano ki

kaun samjhaaye inhen theek nahin yah qurbat
shama kahte hain jise maut hai parvaanon ki

dekhna ye hai tera kis p karam naazil ho
bheed hai aaj teri bazm mein deewaanon ki

uski doli ko kahaaron ne diye hain kaandhe
ham idhar laash uthaate rahe armaanon ki

hai zamaana jo mukhalif to rahe kya afsos
kya kabhi zakhm se banti hai namqdaanon ki

chal rihaai na sahi qadr to kar kam se kam
ham parindon se hai zeenat tere zindaanon ki

ham kisi shah ki chaukhat ke nahin hain muhtaaj
daad milti hai hamein bazm mein deewaanon ki

ham se takraaya jo lautaa hai woh ulte qadmon
baat saahil se na kar mauz ki toofanon ki

बात यह अक़्ल में कब आएगी नादानों की,
मिट नहीं सकती है हस्ती तेरे दीवानों की

दीन की रस्सी को थामे रहें मज़बूती से,
ज़िम्मेदारी है यही आज मुसलमानों की

कौन समझाये इन्हें ठीक नहीं यह क़ुर्बत,
शमअ कहते हैं जिसे मौत है परवानों की

देखना ये है तेरा किस प करम नाज़िल हो,
भीड़ है आज तेरी बज़्म में दीवानों की

उसकी डोली को कहारों ने दिए हैं कांधे,
हम इधर लाश उठाते रहे अरमानों की

है ज़माना जो मुख़ालिफ़ तो रहे, क्या अफ़सोस
क्या कभी ज़ख्म से बनती है नमक़दानों की

चल रिहाई न सही क़द्र तो कर कम से कम,
हम परिंदों से है ज़ीनत तेरे ज़िंदानों की

हम किसी शाह की चौखट के नहीं हैं मुहताज,
दाद मिलती है हमें बज़्म में दीवानों की

हम से टकराया जो, लौटा है वह उल्टे क़दमों,
बात साहिल से न कर मौज़ की तूफानों की

- A R Sahil "Alig"
1 Like

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Alig"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Alig"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Alig"

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari