chaara-gar bhi haal-e-dil par mere hairaan ho gaye | चारा-गर भी हाल-ए-दिल पर मेरे हैराँ हो गए

  - A R Sahil "Aleeg"

chaara-gar bhi haal-e-dil par mere hairaan ho gaye
zakham dil ke khud-b-khud jab dil ka darmaan ho gaye

zindagi ke marhale sab sach mein aasaan ho gaye
unse nazren kya mili ham gul-badaam ho gaye

sahan ae gulshan se hui kuchh is tarah rukhsat bahaar
shaakh-e-gul barg-o-samar lamhe mein veeraan ho gaye

bhaai-chaare ka mila unse mujhe aisa sila
tar-b-tar khoon se mere dasht-o-girebaan ho gaye

rafta-rafta mit gai aawaargi ki justajoo
jab shanaasha-e-daro-deewaar-e zindaa'n ho gaye

jis kisi ne dekha usne kholkar dil daad di
vaar gham ke dil pe yun kaar-e-numayaan ho gaye

चारा-गर भी हाल-ए-दिल पर मेरे हैराँ हो गए
ज़ख़्म दिल के ख़ुद-ब-ख़ुद जब दिल का दरमाँ हो गए

ज़िंदगी के मरहले सब सच में आसाँ हो गए
उनसे नज़रें क्या मिली हम गुल-बदामाँ हो गए

सहन ए गुलशन से हुई कुछ इस तरह रुख़सत बहार,
शाख़-ए-गुल, बर्ग-ओ-समर, लम्हे में वीराँ हो गए

भाई-चारे का मिला उनसे मुझे ऐसा सिला,
तर-ब-तर ख़ूँ से मिरे दस्त-ओ-गिरेबाँ हो गए

रफ़्ता-रफ़्ता मिट गई आवारगी की जुस्तजू,
जब शनाशा-ए-दरो-दीवार-ए- ज़िन्दाँ हो गए

जिस किसी ने देखा, उसने खोलकर दिल, दाद दी
वार ग़म के दिल पे यूँ कार-ए-नुमायाँ हो गए

  - A R Sahil "Aleeg"

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari