kahte hain vo zindagi mein unke koi gham nahin hain
kya ye kam hain yaaron qismat mein hi unki ham nahin hain
muft mein jo mil gaya to sasta mujhko jaana lekin
daam mera pooch lo laakhon se bhi ik kam nahin hain
baad tere main kisi ka bhi nahi ho paaya dil se
varna mere chaahne waale jahaan mein kam nahin hain
chaahoon gar to aaj bhi main tujhko apna luun bana par
yaar in sab baaton mein ab koi bhi to dam nahin hain
sabke pachhtaave hain apni zindagi ke is jahaan mein
jhoothe hain vo log jo kahte hain koi gham nahin hain
कहते हैं वो ज़िंदगी में उनके कोई ग़म नहीं हैं
क्या ये कम हैं यारों क़िस्मत में ही उनकी हम नहीं हैं
मुफ़्त में जो मिल गया तो सस्ता मुझको जाना, लेकिन
दाम मेरा पूछ लो लाखों से भी इक कम नहीं हैं
बाद तेरे मैं किसी का भी नही हो पाया दिल से
वरना मेरे चाहने वाले जहाँ में कम नहीं हैं
चाहूँ ग़र तो आज भी मैं तुझको अपना लूँ बना पर
यार इन सब बातों में अब कोई भी तो दम नहीं हैं
सबके पछतावे हैं अपनी ज़िंदगी के इस जहां में
झूठे हैं वो लोग जो कहते हैं कोई ग़म नहीं हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahesh Natakwala
our suggestion based on Mahesh Natakwala
As you were reading Jhooth Shayari Shayari