khamoshi ye hikaayat ho gai to | ख़मोशी ये हिकायत हो गई तो - Mahesh Natakwala

khamoshi ye hikaayat ho gai to
kahi mujhse sharaarat ho gai to

mujhe ab khud se dar lagne laga hai
kahi tumse muhabbat ho gai to

yun mujhse roz mat baatein karo tum
kahi mujhko ye aadat ho gai to

abhi main kitna hi achha lagoo par
kabhi gar phir shikaayat ho gai to

safar hai koi manzil to nahin ye
yun rukne ki rivaayat ho gai to

ख़मोशी ये हिकायत हो गई तो
कहीं मुझसे शरारत हो गई तो

मुझे अब ख़ुद से डर लगने लगा है
कहीं तुमसे मुहब्बत हो गई तो

यूँ मुझसे रोज़ मत बातें करो तुम
कहीं मुझको ये आदत हो गई तो

अभी मैं कितना ही अच्छा लगूँ पर
कभी ग़र फिर शिकायत हो गई तो

सफ़र है कोई मंजिल तो नहीं ये
यूँ रुकने की रिवायत हो गई तो

- Mahesh Natakwala
0 Likes

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahesh Natakwala

As you were reading Shayari by Mahesh Natakwala

Similar Writers

our suggestion based on Mahesh Natakwala

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari