jo gaya hai ab waapas to vo aa nahin saka
zakhm jo diye hai usne bhula nahin saka
tootkar mere saare khwaab bikhre hai aise
chaahoon gar to bhi main unko utha nahin saka
vo jo ladki hai meri ik adhuri khwaahish hai
ab use main marte dam tak bhi pa nahin saka
apni zindagi mein sab kuchh pa loonga main lekin
ik bina main uske aaraam pa nahin saka
dil mein mere ik gham to umrbhar rahega hi
chaahkar bhi main ab us ko mita nahin saka
ishq ik bala hai ye auliya ne farmaaya
is bala ko ab koi bhi jala nahin saka
जो गया है अब वापस तो वो आ नहीं सकता
ज़ख़्म जो दिए है उसने भुला नहीं सकता
टूटकर मेरे सारे ख़्वाब बिखरे है ऐसे
चाहूँ गर तो भी मैं उनको उठा नहीं सकता
वो जो लड़की है मेरी इक अधूरी ख़्वाहिश है
अब उसे मैं मरते दम तक भी पा नहीं सकता
अपनी ज़िंदगी में सब कुछ पा लूँगा मैं लेकिन
इक बिना मैं उसके आराम पा नहीं सकता
दिल में मेरे इक ग़म तो उम्रभर रहेगा ही
चाहकर भी मैं अब उस को मिटा नहीं सकता
इश्क़ इक बला है ये औलिया ने फ़रमाया
इस बला को अब कोई भी जला नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahesh Natakwala
our suggestion based on Mahesh Natakwala
As you were reading Zindagi Shayari Shayari