hote hain jinke kaan vo deewaar ham nahin
ye bhi nahin ki saahib-e-asraar ham nahin
maana himaayati nahin fasl-e-bahaar ke
fasl-e-khizaan ke bhi to tarafdaar ham nahin
hote nahin hain ishq mein danishwari se kaam
maula tere karam se samajhdaar ham nahin
firdaus maang len vo bhi sajdon ke mol mein
zaahid nahin par itne khatakaar ham nahin
kausar ko jaam jaam ko kausar bata diya
khud sochte hain soch giraftaar ham nahin
apne janaaze mein bhi na kandha lagaaenge
na-haq sahi par itne gunahgaar ham nahin
khud raam jee ke shehar ko mismar kar ke aap
kahte ho raavano ke tarafdaar ham nahin
usne bhi kah diya nahin is baar bhi nahin
hamne bhi kah diya nahin har baar ham nahin
होते हैं जिनके कान वो दीवार हम नहीं
ये भी नहीं कि साहिब-ए-असरार हम नहीं
माना हिमायती नहीं फ़स्ल-ए-बहार के
फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ के भी तो तरफ़दार हम नहीं
होते नहीं हैं इश्क़ में दानिशवरी से काम
मौला तेरे करम से समझदार हम नहीं
फ़िरदौस माँग लें वो भी सजदों के मोल में
ज़ाहिद नहीं पर इतने ख़ताकार हम नहीं
कौसर को जाम जाम को कौसर बता दिया
ख़ुद सोचते हैं सोच गिरफ़्तार हम नहीं
अपने जनाज़े में भी न कंधा लगाएँगे
ना-हक़ सही पर इतने गुनहगार हम नहीं
ख़ुद राम जी के शहर को मिस्मार कर के आप
कहते हो रावणों के तरफ़दार हम नहीं
उसने भी कह दिया नहीं इस बार भी नहीं
हमने भी कह दिया नहीं हर बार हम नहीं
As you were reading Shayari by Abdulla Asif
our suggestion based on Abdulla Asif
As you were reading undefined Shayari