dimaagh phir sa gaya hai kuch ek saalon se | दिमाग़ फिर सा गया है कुछ एक सालों से - Muhammad Asif Ali

dimaagh phir sa gaya hai kuch ek saalon se
khayal bhi nahin milte hain ham-khayaalon se

rihaa hua jo main zanjeer-e-kaar-e-duniya se
to khelta raha shab bhar kisi ke baalon se

mera habeeb udaasi ki or badhta gaya
vo mutmain hi nahin tha meri misaalon se

bas ek main hi nahin uske zikr se marboot
use bhi jaana gaya hai mere hawaalon se

dara dara hai meri jaan meri fikr ka ban
tere khayal ke in bhaagte ghazaalon se

दिमाग़ फिर सा गया है कुछ एक सालों से
ख़याल भी नहीं मिलते हैं हम-ख़यालों से

रिहा हुआ जो मैं ज़ंजीर-ए-कार-ए-दुनिया से
तो खेलता रहा शब भर किसी के बालों से

मेरा हबीब उदासी की ओर बढ़ता गया
वो मुत्मइन ही नहीं था मेरी मिसालों से

बस एक मैं ही नहीं उसके ज़िक्र से मरबूत
उसे भी जाना गया है मेरे हवालों से

डरा डरा है मेरी जान मेरी फ़िक्र का बन
तेरे ख़याल के इन भागते ग़ज़ालों से

- Muhammad Asif Ali
1 Like

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muhammad Asif Ali

As you were reading Shayari by Muhammad Asif Ali

Similar Writers

our suggestion based on Muhammad Asif Ali

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari