badi mehnat hai kii maine use phir bhool jaane mein
mohabbat chhod aaya main farebi ke zamaane mein
likhe hain sher uski yaad mein khaali gharaunde mein
rahi hai muflisi hi saath mere aashiyaane mein
use pehchaanne ke vaaste mud ke take naina
jise ab sharm aati hai mujhe apna bataane mein
akela teergi-e-shab mita deta jahaan bhar ke
agar bazaar mein maachis mile jo chaar aane mein
kabhi to raushni mujh pe khudaaya khoob daalega
khuda ko waqt lagta hai naya suraj banaane mein
akela shayari karta pitaa ke baad ghar mein main
ghuta karta ganwa deta kalaa jo main kamaane mein
bharosa hai mujhe us par kabhi imaan dolega
usi ke haath kaapenge mera number milaane mein
bichhad ke aaj tak main aashiqi kar hi nahin paaya
samay lagta nahin mehboob bhi unko pataane mein
बड़ी मेहनत है की मैंने उसे फिर भूल जाने में
मोहब्बत छोड़ आया मैं फरेबी के ज़माने में
लिखे हैं शेर उसकी याद में खाली घरौंदे में
रही है मुफ़्लिसी ही साथ मेरे आशियाने में
उसे पहचानने के वास्ते मुड़ के तके नैना
जिसे अब शर्म आती है मुझे अपना बताने में
अकेले तीरगी-ए-शब मिटा देता जहाँ भर के
अगर बाज़ार में माचिस मिले जो चार आने में
कभी तो रौशनी मुझ पे ख़ुदाया ख़ूब डालेगा
ख़ुदा को वक़्त लगता है नया सूरज बनाने में
अकेला शायरी करता पिता के बाद घर में मैं
घुटा करता गँवा देता कला जो मैं कमाने में
भरोसा है मुझे उस पर कभी ईमान डोलेगा
उसी के हाथ कापेंगे मेरा नंबर मिलाने में
बिछड़ के आज तक मैं आशिक़ी कर ही नहीं पाया
समय लगता नहीं महबूब भी उनको पटाने में
As you were reading Shayari by Aman Vishwakarma 'Avish'
our suggestion based on Aman Vishwakarma 'Avish'
As you were reading undefined Shayari