zindagi aankh ke parde pe utar aayi hai
iski tasveer mein bas zillat-o-ruswaai hai
itne barson se badalti hui qudrat dekho
sab tamaashe hain magar ek tamaashaai hai
umr bhar past raha aur hua awezaan
par dil-e-zaar mein ulfat ki tawaanai hai
fikr-e-duniya mein hai sar apna jhukaaye baithe
mast logon se kahaan apni shanaasaai hai
ab zara mujh ko bata jhooth bataane waale
meri baaton mein bhala kitni hi sacchaai hai
jab na tha koi khala mein mere faazil to phir
kis se ja kar meri awaaz ye takraai hai
tan badan par mere vehshat ka thikaana jaise
meri jaageer mera jism ye sehraai hai
meri duniya mein to chashmon ke siva kuchh bhi nahin
teri duniya mein to beenaai si beenaai hai
yaad to yaad hai tu bhi chali aayi aakhir
kamre mein har-soo magar aalam-e-tanhaai hai
kuchh to naazuk se hai haalaat udhar bhi yaaron
uske lehje mein khanak aur vo ghabraai hai
haath mein paanch nageenon ki angoothi dekhi
mausamon ne use jo pyaar se pahnaai hai
maut to kya hi hai kuchh aur ho sayyad ki saza
maghz-e-sar aalam-e-faani ka tamannaai hai
ज़िंदगी आँख के परदे पे उतर आई है
इसकी तस्वीर में बस ज़िल्लत-ओ-रुस्वाई है
इतने बरसों से बदलती हुई क़ुदरत देखो
सब तमाशे हैं मगर एक तमाशाई है
उम्र भर पस्त रहा और हुआ आवेज़ाँ
पर दिल-ए-ज़ार में उलफ़त की तवानाई है
फ़िक्र-ए-दुनिया में है सर अपना झुकाए बैठे
मस्त लोगों से कहाँ अपनी शनासाई है
अब ज़रा मुझ को बता झूठ बताने वाले
मेरी बातों में भला कितनी ही सच्चाई है
जब न था कोई ख़ला में मेरे फ़ाज़िल तो फिर
किस से जा कर मेरी आवाज़ ये टकराई है
तन बदन पर मेरे वहशत का ठिकाना जैसे
मेरी जागीर मेरा जिस्म ये सहराई है
मेरी दुनिया में तो चश्मों के सिवा कुछ भी नहीं
तेरी दुनिया में तो बीनाई सी बीनाई है
याद तो याद है तू भी चली आई आख़िर
कमरे में हर-सू मगर आलम-ए-तन्हाई है
कुछ तो नाज़ुक से है हालात उधर भी यारों
उसके लहजे में खनक और वो घबराई है
हाथ में पाँच नगीनों की अँगूठी देखी
मौसमों ने उसे जो प्यार से पहनाई है
मौत तो क्या ही है कुछ और हो 'सय्यद' की सज़ा
मग़्ज़-ए-सर आलम-ए-फानी का तमन्नाई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading Gunaah Shayari Shayari