tarqqi | "तरक्क़ी" - AZAD MADRE

tarqqi

aaj chale hai sab usi sadak ke kinaare kinaare
sadiyon se jin pe koi raahgeer chala hi nahin tha

kitne baag ujaad diye gaye tarakki ke naam par
jaise kabhi koi phool wahan par khila hi nahin tha

ab sab log poochte hai hamaara naam pata shehar mein
jaise aaj se pehle mera pata mila hi nahin tha

gaanv laut kar un gharo mein bhi rah rahe aaj sabhi
barso se jin gharo ka kiwaar khula hi nahin tha

maine dekha hai kai aise gharo ko bhi guzaara karte
jinke apna koi pakka choolha hi nahin tha

hamaara bachpan bhi aisi jagah guzra hai azaad
jis ghar mein tafreeh ko koi jhoola hi nahin tha

"तरक्क़ी"

आज चले है सब उसी सड़क के किनारे किनारे
सदियों से जिन पे कोई राहगीर चला ही नहीं था

कितने बाग उजाड़ दिए गए तरक्की के नाम पर
जैसे कभी कोई फूल वहाँ पर खिला ही नहीं था

अब सब लोग पूछते है हमारा नाम पता शहर में
जैसे आज से पहले मेरा पता मिला ही नहीं था

गांव लौट कर उन घरों में भी रह रहे आज सभी
बरसो से जिन घरों का किवाड़ खुला ही नहीं था

मैंने देखा है कई ऐसे घरों को भी गुज़ारा करते
जिनके अपना कोई पक्का चूल्हा ही नहीं था

हमारा बचपन भी ऐसी जगह गुज़रा है आज़ाद
जिस घर में तफरीह को कोई झूला ही नहीं था

- AZAD MADRE
3 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by AZAD MADRE

As you were reading Shayari by AZAD MADRE

Similar Writers

our suggestion based on AZAD MADRE

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari