khwaah kar insaaf zalim khwaah kar bedaad tu | ख़्वाह कर इंसाफ़ ज़ालिम ख़्वाह कर बेदाद तू

  - Bahadur Shah Zafar

khwaah kar insaaf zalim khwaah kar bedaad tu
par jo fariyaadi hain un ki sun to le fariyaad tu

dam-b-dam bharte hain ham teri hawaa-khwaahi ka dam
kar na bad-khuo ke kehne se hamein barbaad tu

kya gunah kya jurm kya taqseer meri kya khata
ban gaya jo is tarah haq mein mere jallaad tu

qaid se teri kahaan jaayenge ham be-baal-o-par
kyun qafas mein tang karta hai hamein sayyaad tu

dil ko dil se raah hai to jis tarah se ham tujhe
yaad karte hain kare yun hi hamein bhi yaad tu

dil tira faulaad ho to aap ho aaina-waar
saaf yak-baari sune meri agar roodaad tu

shaad o khurram ek aalam ko kiya us ne zafar
par sabab kya hai ki hai ranjeeda o naashaad tu

ख़्वाह कर इंसाफ़ ज़ालिम ख़्वाह कर बेदाद तू
पर जो फ़रियादी हैं उन की सुन तो ले फ़रियाद तू

दम-ब-दम भरते हैं हम तेरी हवा-ख़्वाही का दम
कर न बद-ख़ुओं के कहने से हमें बर्बाद तू

क्या गुनह क्या जुर्म क्या तक़्सीर मेरी क्या ख़ता
बन गया जो इस तरह हक़ में मिरे जल्लाद तू

क़ैद से तेरी कहाँ जाएँगे हम बे-बाल-ओ-पर
क्यूँ क़फ़स में तंग करता है हमें सय्याद तू

दिल को दिल से राह है तो जिस तरह से हम तुझे
याद करते हैं करे यूँ ही हमें भी याद तू

दिल तिरा फ़ौलाद हो तो आप हो आईना-वार
साफ़ यक-बारी सुने मेरी अगर रूदाद तू

शाद ओ ख़ुर्रम एक आलम को किया उस ने 'ज़फ़र'
पर सबब क्या है कि है रंजीदा ओ नाशाद तू

  - Bahadur Shah Zafar

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari