nibaah baat ka us heelagar se kuchh na hua | निबाह बात का उस हीला-गर से कुछ न हुआ

  - Bahadur Shah Zafar

nibaah baat ka us heelagar se kuchh na hua
idhar se kya na hua par udhar se kuchh na hua

jawaab-e-saaf to laata agar na laata khat
likha naseeb ka jo nama-bar se kuchh na hua

hamesha fitne hi barpa kiye mere sar par
hua ye aur to us fitna-gar se kuchh na hua

bala se giryaa-e-shab tu hi kuchh asar karta
agarche ishq mein aah-e-sehr se kuchh na hua

jala jala ke kiya sham'a saan tamaam mujhe
bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na hua

raheen adoo se wahi garm-joshiyaan us ki
is aah-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na hua

uthaya ishq mein kya kya na dard-e-sar main ne
husool par mujhe us dard-e-sar se kuchh na hua

shab-e-visaal mein bhi meri jaan ko aaraam
azeezo dard-e-judai ke dar se kuchh na hua

na doonga dil use main ye hamesha kehta tha
vo aaj le hi gaya aur zafar se kuchh na hua

निबाह बात का उस हीला-गर से कुछ न हुआ
इधर से क्या न हुआ पर उधर से कुछ न हुआ

जवाब-ए-साफ़ तो लाता अगर न लाता ख़त
लिखा नसीब का जो नामा-बर से कुछ न हुआ

हमेशा फ़ित्ने ही बरपा किए मिरे सर पर
हुआ ये और तो उस फ़ित्ना-गर से कुछ न हुआ

बला से गिर्या-ए-शब तू ही कुछ असर करता
अगरचे इश्क़ में आह-ए-सहर से कुछ न हुआ

जला जला के किया शम्अ साँ तमाम मुझे
बस और तो मुझे सोज़-ए-जिगर से कुछ न हुआ

रहीं अदू से वही गर्म-जोशियाँ उस की
इस आह-ए-सर्द और इस चश्म-ए-तर से कुछ न हुआ

उठाया इश्क़ में क्या क्या न दर्द-ए-सर मैं ने
हुसूल पर मुझे उस दर्द-ए-सर से कुछ न हुआ

शब-ए-विसाल में भी मेरी जान को आराम
अज़ीज़ो दर्द-ए-जुदाई के डर से कुछ न हुआ

न दूँगा दिल उसे मैं ये हमेशा कहता था
वो आज ले ही गया और 'ज़फ़र' से कुछ न हुआ

  - Bahadur Shah Zafar

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari