paan kha kar surma ki tahreer phir kheenchi to kya
jab mera khun ho chuka shamsheer phir kheenchi to kya
ai muhawwis jab ki zar tere naseebon mein nahin
tu ne mehnat bhi pay-e-ikseer phir kheenchi to kya
gar khinche seene se naavak rooh tu qaaleb se kheench
ai ajal jab khinch gaya vo teer phir kheenchi to kya
kheenchta tha paanv mera pehle hi zanjeer se
ai junoon tu ne meri zanjeer phir kheenchi to kya
daar hi par us ne kheecha jab sar-e-baazaar-ishq
laash bhi meri pay-e-tasheer phir kheenchi to kya
kheench ab naala koi aisa ki ho us ko asar
tu ne ai dil aah-e-pur-taaseer phir kheenchi to kya
chahiye us ka tasavvur hi se naqsha kheenchana
dekh kar tasveer ko tasveer phir kheenchi to kya
kheench le awwal hi se dil ki inaan-e-ikhtiyaar
tu ne gar ai aashiq-e-dil-geer phir kheenchi to kya
kya hua aage uthaaye gar zafar ahsaan-e-aql
aur agar ab minnat-e-tadbeer phir kheenchi to kya
पान खा कर सुर्मा की तहरीर फिर खींची तो क्या
जब मिरा ख़ूँ हो चुका शमशीर फिर खींची तो क्या
ऐ मुहव्विस जब कि ज़र तेरे नसीबों में नहीं
तू ने मेहनत भी पय-ए-इक्सीर फिर खींची तो क्या
गर खिंचे सीने से नावक रूह तू क़ालिब से खींच
ऐ अजल जब खिंच गया वो तीर फिर खींची तो क्या
खींचता था पाँव मेरा पहले ही ज़ंजीर से
ऐ जुनूँ तू ने मिरी ज़ंजीर फिर खींची तो क्या
दार ही पर उस ने खींचा जब सर-ए-बाज़ार-इश्क़
लाश भी मेरी पय-ए-तशहीर फिर खींची तो क्या
खींच अब नाला कोई ऐसा कि हो उस को असर
तू ने ऐ दिल आह-ए-पुर-तासीर फिर खींची तो क्या
चाहिए उस का तसव्वुर ही से नक़्शा खींचना
देख कर तस्वीर को तस्वीर फिर खींची तो क्या
खींच ले अव्वल ही से दिल की इनान-ए-इख़्तियार
तू ने गर ऐ आशिक़-ए-दिल-गीर फिर खींची तो क्या
क्या हुआ आगे उठाए गर 'ज़फ़र' अहसान-ए-अक़्ल
और अगर अब मिन्नत-ए-तदबीर फिर खींची तो क्या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar
our suggestion based on Bahadur Shah Zafar
As you were reading Mehnat Shayari Shayari