kaafir tujhe allah ne soorat to pari di
par haif tire dil mein mohabbat na zari di
di tu ne mujhe sultanat-e-bahr-o-bar ai ishq
honton ko jo khushki meri aankhon ko tari di
khaal-e-lab-e-sheereen ka diya bosa kab us ne
ik chaat lagaane ko mere neeshkari di
kaafir tire sauda-e-sar-e-zulf ne mujh ko
kya kya na pareshaani o aashuftaa-sari di
mehnat se hai azmat ki zamaane mein nageen ko
be-kaavish-e-seena na kabhi naamvari di
sayyaad ne di rukhsat-e-parwaaz par afsos
tu ne na ijaazat mujhe be-baal-o-paree di
kehta tira kuchh sokhta-jaan lek ajal ne
furqat na use misl-e-charaagh-e-sehri di
qassaam-e-azl ne na rakha ham ko bhi mahroom
garche na diya koi hunar be-hunri di
us chashm mein hai surme ka dumbaala pur-aashob
kyun haath mein badmast ke bandooq bhari di
dil de ke kiya ham ne tiri zulf ka sauda
ik aap bala apne liye mol khareedi
saaqi ne diya kya mujhe ik saaghar-e-sarshaar
goya ki do aalam se zafar be-khabri di
काफ़िर तुझे अल्लाह ने सूरत तो परी दी
पर हैफ़ तिरे दिल में मोहब्बत न ज़री दी
दी तू ने मुझे सल्तनत-ए-बहर-ओ-बर ऐ इश्क़
होंटों को जो ख़ुश्की मिरी आँखों को तरी दी
ख़ाल-ए-लब-ए-शीरीं का दिया बोसा कब उस ने
इक चाट लगाने को मिरे नीशकरी दी
काफ़िर तिरे सौदा-ए-सर-ए-ज़ुल्फ़ ने मुझ को
क्या क्या न परेशानी ओ आशुफ़्ता-सरी दी
मेहनत से है अज़्मत कि ज़माने में नगीं को
बे-काविश-ए-सीना न कभी नामवरी दी
सय्याद ने दी रुख़्सत-ए-परवाज़ पर अफ़्सोस
तू ने न इजाज़त मुझे बे-बाल-ओ-परी दी
कहता तिरा कुछ सोख़्ता-जाँ लेक अजल ने
फ़ुर्सत न उसे मिस्ल-ए-चराग़-ए-सहरी दी
क़स्साम-ए-अज़ल ने न रखा हम को भी महरूम
गरचे न दिया कोई हुनर बे-हुनरी दी
उस चश्म में है सुरमे का दुम्बाला पुर-आशोब
क्यूँ हाथ में बदमस्त के बंदूक़ भरी दी
दिल दे के किया हम ने तिरी ज़ुल्फ़ का सौदा
इक आप बला अपने लिए मोल ख़रीदी
साक़ी ने दिया क्या मुझे इक साग़र-ए-सरशार
गोया कि दो आलम से 'ज़फ़र' बे-ख़बरी दी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar
our suggestion based on Bahadur Shah Zafar
As you were reading Maikashi Shayari Shayari