charaagh dil mein muhabbat ka khud hi jalta hai | चराग़ दिल में मुहब्बत का ख़ुद ही जलता है

  - Dharmesh bashar

charaagh dil mein muhabbat ka khud hi jalta hai
kamaal ka koii ehsaas hai jo yaktaa hai

khayal mein ye tasavvur hai tera mahka sa
kahaan pe gul ye khila hai kahaan mahakta hai

tera mizaaj to anpadh ke haath ka hai khat
nazar to aata hai matlab kahaan nikalta hai

bani hui hai zabaan jo udaas aankhon kii
vo ashk sabr ke pahluu se kab nikalta hai

bhatak raha hoon main dushwaariyon ke jungle mein
yahin kahin se mera raasta nikalta hai

fadakne lagti hai kyun baazuen hawaon kii
charaagh jab bhi mere hausale ka jalta hai

kisi ke hisse mein aayi hai dhoop kii daulat
koii hai jo ki ujaale ko bhi tarasta hai

wahan bhi khof-e-khizaan hai bahaar par taari
kahaan chaman mein bhi rah kar sukoon milta hai

main apne gaav mein jis ghar ko chhod aaya tha
vo khasta-haal bashar ab bhi yaad karta hai

चराग़ दिल में मुहब्बत का ख़ुद ही जलता है
कमाल का कोई एहसास है जो यकता है

ख़याल में ये तसव्वुर है तेरा महका सा
कहाँ पे गुल ये खिला है कहाँ महकता है

तेरा मिज़ाज तो अनपढ़ के हाथ का है ख़त
नज़र तो आता है मतलब कहाँ निकलता है

बनी हुई है ज़बाँ जो उदास आँखों की
वो अश्क़ सब्र के पहलू से कब निकलता है

भटक रहा हूँ मैं दुश्वारियों के जंगल में
यहीं कहीं से मेरा रास्ता निकलता है

फड़कने लगती है क्यूँ बाज़ुएँ हवाओं की
चराग़ जब भी मेरे हौसले का जलता है

किसी के हिस्से में आई है धूप की दौलत
कोई है जो कि उजाले को भी तरसता है

वहाँ भी ख़ौफ़-ए-ख़िज़ाँ है बहार पर तारी
कहाँ चमन में भी रह कर सुकून मिलता है

मैं अपने गाँव में जिस घर को छोड़ आया था
वो ख़स्ता-हाल 'बशर' अब भी याद करता है

  - Dharmesh bashar

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari