ishq hai gar to meri zaat na paise dekhe
vo mere dil mein muhabbat ke khazaane dekhe
kaun hain vo jo muhabbat mein munaafa paaya
hamne to dost lagaataar khasaare dekhe
jo koi sahal samajhta hai muhabbat ka safar
vo kabhi aa ke mere paanv ke chaale dekhe
aise rota hoon tujhe dekh ke jaise koi
baap ik umr se bichhde hue bacche dekhe
ham bhala kaun hain tafriq bataane waale
us ki marzi hai vo jis shakhs ko chahe dekhe
aag paani se kabhi milti nahin hai ki bashar
us ko bolo ki na shehzaadi ke sapne dekhe
इश्क़ है गर तो मिरी ज़ात न पैसे देखे
वो मिरे दिल में मुहब्बत के ख़ज़ाने देखे
कौन हैं वो जो मुहब्बत में मुनाफ़ा पाया
हमने तो दोस्त लगातार ख़सारे देखे
जो कोई सहल समझता है मुहब्बत का सफ़र
वो कभी आ के मिरे पाँव के छाले देखे
ऐसे रोता हूँ तुझे देख के जैसे कोई
बाप इक उम्र से बिछड़े हुए बच्चे देखे
हम भला कौन हैं तफ़रीक़ बताने वाले
उस की मर्ज़ी है वो जिस शख़्स को चाहे देखे
आग पानी से कभी मिलती नहीं है कि 'बशर'
उस को बोलो कि न शहज़ादी के सपने देखे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dharmesh bashar
our suggestion based on Dharmesh bashar
As you were reading Dil Shayari Shayari