raat din khwaabon mein aata kaun hai | रात दिन ख़्वाबों में आता कौन है - Dharmesh bashar

raat din khwaabon mein aata kaun hai
apni jaanib ye bulaata kaun hai

mast hoon hardam main uski taan par
saaz kya jaane bajaata kaun hai

naachne mein hi faqat mashghool hoon
kya pata mujhko nachaata kaun hai

ho gaya maahir kai khelon mein ab
khel ye aakhir khilaata kaun hai

kam nahin raunaq azal se aaj tak
anjuman aisi sajaata kaun hai

kitne sayyaare khala mein ghoomte
in patangon ko udaata kaun hai

naam to hota bashar ka hai magar
usse ye ghazlein likhaata kaun hai

रात दिन ख़्वाबों में आता कौन है
अपनी जानिब ये बुलाता कौन है

मस्त हूँ हरदम मैं उसकी तान पर
साज़, क्या जाने, बजाता कौन है

नाचने में ही फ़क़त मशग़ूल हूँ
क्या पता मुझको नचाता कौन है

हो गया माहिर कई खेलों में अब
खेल ये आख़िर खिलाता कौन है

कम नहीं रौनक़, अज़ल से आज तक
अंजुमन ऐसी सजाता कौन है

कितने सय्यारे ख़ला में घूमते
इन पतंगों को उड़ाता कौन है

नाम तो होता बशर का है मगर
उससे ये ग़ज़लें लिखाता कौन है

- Dharmesh bashar
5 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari