ye zard patton ki baarish mera zawaal nahin
mere badan pe kisi doosre ki shaal nahin
udaas ho gai ek faakhta chahakti hui
kisi ne qatl kiya hai ye intiqaal nahin
tamaam umr ghareebi mein ba-waqaar rahe
hamaare ahad mein aisi koi misaal nahin
vo la-shareek hai us ka koi shareek kahaan
vo be-misaal hai us ki koi misaal nahin
main aasmaan se toota hua sitaara hoon
kahaan mili thi ye duniya mujhe khayal nahin
vo shakhs jis ko dil o jaan se badh ke chaaha tha
bichhad gaya to b-zaahir koi malaal nahin
ये ज़र्द पत्तों की बारिश मिरा ज़वाल नहीं
मिरे बदन पे किसी दूसरे की शाल नहीं
उदास हो गई एक फ़ाख़्ता चहकती हुई
किसी ने क़त्ल किया है ये इंतिक़ाल नहीं
तमाम उम्र ग़रीबी में बा-वक़ार रहे
हमारे अहद में ऐसी कोई मिसाल नहीं
वो ला-शरीक है उस का कोई शरीक कहाँ
वो बे-मिसाल है उस की कोई मिसाल नहीं
मैं आसमान से टूटा हुआ सितारा हूँ
कहाँ मिली थी ये दुनिया मुझे ख़याल नहीं
वो शख़्स जिस को दिल ओ जाँ से बढ़ के चाहा था
बिछड़ गया तो ब-ज़ाहिर कोई मलाल नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Khyaal Shayari Shayari