baadal hai aur phool khile hain sabhi taraf | बादल है और फूल खिले हैं सभी तरफ़ - Basir Sultan Kazmi

baadal hai aur phool khile hain sabhi taraf
kehta hai dil ki aaj nikal ja kisi taraf

tevar bahut kharab the sunte hain kal tire
achha hua ki hum ne na dekha tiri taraf

jab bhi mile hum un se unhon ne yahi kaha
bas aaj aane waale the hum aap ki taraf

ai dil ye dhadkanein tiri maamool ki nahin
lagta hai aa raha hai vo fitna isee taraf

khush tha ki chaar nekiyaan hain jam'a us ke paas
nikle gunaah beesiyon ulta meri taraf

baasir adoo se hum to yoonhi bad-gumaan rahe
tha un ka iltifaat kisi aur hi taraf

बादल है और फूल खिले हैं सभी तरफ़
कहता है दिल कि आज निकल जा किसी तरफ़

तेवर बहुत ख़राब थे सुनते हैं कल तिरे
अच्छा हुआ कि हम ने न देखा तिरी तरफ़

जब भी मिले हम उन से उन्हों ने यही कहा
बस आज आने वाले थे हम आप की तरफ़

ऐ दिल ये धड़कनें तिरी मामूल की नहीं
लगता है आ रहा है वो फ़ित्ना इसी तरफ़

ख़ुश था कि चार नेकियाँ हैं जम्अ उस के पास
निकले गुनाह बीसियों उल्टा मिरी तरफ़

'बासिर' अदू से हम तो यूँही बद-गुमाँ रहे
था उन का इल्तिफ़ात किसी और ही तरफ़

- Basir Sultan Kazmi
1 Like

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Basir Sultan Kazmi

As you were reading Shayari by Basir Sultan Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Basir Sultan Kazmi

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari