hote hain jo sab ke vo kisi ke nahin hote | होते हैं जो सब के वो किसी के नहीं होते - Basir Sultan Kazmi

hote hain jo sab ke vo kisi ke nahin hote
auron ke to kya honge vo apne nahin hote

mil un se kabhi jaagte hain jin ke muqaddar
teri tarah har waqt vo soye nahin hote

din mein jo fira karte hain hushiyaar o khabar-daar
vo meri tarah raat ko jaage nahin hote

hum un ki taraf se kabhi hote nahin ghaafil
rishte wahi pakke hain jo pakke nahin hote

aghyaar ne muddat se jo roke hue the kaam
ab hum bhi ye dekhenge vo kaise nahin hote

naakaami ki soorat mein mile taana-e-na-yaft
ab kaam mere itne bhi kacche nahin hote

shab ahl-e-hawas aise pareshaan the baasir
jaise meh-o-anjum kabhi dekhe nahin hote

होते हैं जो सब के वो किसी के नहीं होते
औरों के तो क्या होंगे वो अपने नहीं होते

मिल उन से कभी जागते हैं जिन के मुक़द्दर
तेरी तरह हर वक़्त वो सोए नहीं होते

दिन में जो फिरा करते हैं हुशियार ओ ख़बर-दार
वो मेरी तरह रात को जागे नहीं होते

हम उन की तरफ़ से कभी होते नहीं ग़ाफ़िल
रिश्ते वही पक्के हैं जो पक्के नहीं होते

अग़्यार ने मुद्दत से जो रोके हुए थे काम
अब हम भी ये देखेंगे वो कैसे नहीं होते

नाकामी की सूरत में मिले ताना-ए-ना-याफ़्त
अब काम मिरे इतने भी कच्चे नहीं होते

शब अहल-ए-हवस ऐसे परेशान थे 'बासिर'
जैसे मह-ओ-अंजुम कभी देखे नहीं होते

- Basir Sultan Kazmi
1 Like

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Basir Sultan Kazmi

As you were reading Shayari by Basir Sultan Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Basir Sultan Kazmi

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari