ye nahin hai ki tujhe main ne pukaara kam hai | ये नहीं है कि तुझे मैं ने पुकारा कम है

  - Basir Sultan Kazmi

ye nahin hai ki tujhe main ne pukaara kam hai
mere naalon ko hawaon ka sahaara kam hai

is qadar hijr mein ki nazm-shumaari ham ne
jaan lete hain kahaan koi sitaara kam hai

dosti mein to koi shak nahin us ki par vo
dost dushman ka ziyaada hai hamaara kam hai

saaf izhaar ho aur vo bhi kam-az-kam do baar
ham vo aaqil hain jinhen ek ishaara kam hai

ek rukhsaar pe dekha hai vo til ham ne bhi
ho samarkand muqaabil ki bukhara kam hai

itni jaldi na bana raay mere baare mein
ham ne hamraah abhi waqt guzaara kam hai

baagh ik ham ko mila tha magar us ko afsos
ham ne jee bhar ke bigaara hai sanwaara kam hai

aaj tak apni samajh mein nahin aaya baasir
kaun sa kaam hai vo jis mein khasaara kam hai

ये नहीं है कि तुझे मैं ने पुकारा कम है
मेरे नालों को हवाओं का सहारा कम है

इस क़दर हिज्र में की नज्म-शुमारी हम ने
जान लेते हैं कहाँ कोई सितारा कम है

दोस्ती में तो कोई शक नहीं उस की पर वो
दोस्त दुश्मन का ज़ियादा है हमारा कम है

साफ़ इज़हार हो और वो भी कम-अज़-कम दो बार
हम वो आक़िल हैं जिन्हें एक इशारा कम है

एक रुख़्सार पे देखा है वो तिल हम ने भी
हो समरक़ंद मुक़ाबिल कि बुख़ारा कम है

इतनी जल्दी न बना राय मिरे बारे में
हम ने हमराह अभी वक़्त गुज़ारा कम है

बाग़ इक हम को मिला था मगर उस को अफ़्सोस
हम ने जी भर के बिगाड़ा है सँवारा कम है

आज तक अपनी समझ में नहीं आया 'बासिर'
कौन सा काम है वो जिस में ख़सारा कम है

  - Basir Sultan Kazmi

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Basir Sultan Kazmi

As you were reading Shayari by Basir Sultan Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Basir Sultan Kazmi

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari