hum jaise teg-e-zulm se dar bhi gaye to kya | हम जैसे तेग़-ए-ज़ुल्म से डर भी गए तो क्या - Basir Sultan Kazmi

hum jaise teg-e-zulm se dar bhi gaye to kya
kuch vo bhi hain jo kahte hain sar bhi gaye to kya

uthati raheingi dard ki teesen tamaam umr
hain zakham tere haath ke bhar bhi gaye to kya

hain kaun se bahaar ke din apne muntazir
ye din kisi tarah se guzar bhi gaye to kya

ik makr hi tha aap ka ifa-e-ahd bhi
apne kahe se aaj mukar bhi gaye to kya

hum to isee tarah se firenge kharaab-haal
ye sher tere dil mein utar bhi gaye to kya

baasir tumhein yahan ka abhi tajurba nahin
beemaar ho pade raho mar bhi gaye to kya

हम जैसे तेग़-ए-ज़ुल्म से डर भी गए तो क्या
कुछ वो भी हैं जो कहते हैं सर भी गए तो क्या

उठती रहेंगी दर्द की टीसें तमाम उम्र
हैं ज़ख़्म तेरे हाथ के भर भी गए तो क्या

हैं कौन से बहार के दिन अपने मुंतज़िर
ये दिन किसी तरह से गुज़र भी गए तो क्या

इक मक्र ही था आप का ईफ़ा-ए-अहद भी
अपने कहे से आज मुकर भी गए तो क्या

हम तो इसी तरह से फिरेंगे ख़राब-हाल
ये शेर तेरे दिल में उतर भी गए तो क्या

'बासिर' तुम्हें यहाँ का अभी तजरबा नहीं
बीमार हो? पड़े रहो, मर भी गए तो क्या

- Basir Sultan Kazmi
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Basir Sultan Kazmi

As you were reading Shayari by Basir Sultan Kazmi

Similar Writers

our suggestion based on Basir Sultan Kazmi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari