vo andaleeb hoon ki sada mujh ko gham raha
baag-e-jahaan mein nakhl-e-tamanna qalam raha
wahshi vo hoon ki hadd-e-adam se na badh gaya
sehra mein qais ka main qadam-dar-qadam raha
manzoor un ko saaf hain wa'da-khilaafiyaan
ai intizaar kyun meri aankhon mein dam raha
akshar meri ghazal mein jo nukte hain ramz hain
aajiz jabhi sana mein har ahl-e-qalam raha
aadat sujood ki jo thi ahad-e-shabaab mein
peeri mein bhi sada qad-e-aashiq mein kham raha
zarra nayi ghazal kahi yaktaa ke faiz se
go dard-e-mashq-e-she'r-o-sukhan tujh ko kam raha
वो अंदलीब हूँ कि सदा मुझ को ग़म रहा
बाग़-ए-जहाँ में नख़्ल-ए-तमन्ना क़लम रहा
वहशी वो हूँ कि हद्द-ए-अदम से न बढ़ गया
सहरा में क़ैस का मैं क़दम-दर-क़दम रहा
मंज़ूर उन को साफ़ हैं वा'दा-ख़िलाफ़ियाँ
ऐ इंतिज़ार क्यों मिरी आँखों में दम रहा
अक्सर मिरी ग़ज़ल में जो नुक्ते हैं रम्ज़ हैं
आजिज़ जभी सना में हर अहल-ए-क़लम रहा
आदत सुजूद की जो थी अहद-ए-शबाब में
पीरी में भी सदा क़द-ए-आ'शिक़ में ख़म रहा
ज़र्रा नई ग़ज़ल कही 'यकता' के फ़ैज़ से
गो दर्द-ए-मश्क़-ए-शे'र-ओ-सुख़न तुझ को कम रहा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Captain Damingo Paul Lizwa
As you were reading Udasi Shayari Shayari