meri be-khudi hai vo be-khudi ki khudi ka wahm-o-gumaan nahin
ye suroor-e-saaghar-e-may nahin ye khumaar-e-khwaab-e-giraan nahin
jo zuhoor-e-aalam-e-zaat hai ye faqat hujoom-e-sifaat hai
hai jahaan ka aur vujood kya jo tilism-e-wahm-o-gumaan nahin
ye hayaat aalam-e-khwaab hai na gunaah hai na savaab hai
wahi kufr-o-deen mein kharab hai jise ilm-e-raaz-e-jahaan nahin
na vo khum mein baade ka josh hai na vo husn jalwa-farosh hai
na kisi ko raat ka hosh hai vo sehar ki shab ka gumaan nahin
vo zameen pe jin ka tha dabdaba ki buland arsh pe naam tha
unhen yun falak ne mita diya ki mazaar tak ka nishaan nahin
मिरी बे-ख़ुदी है वो बे-ख़ुदी कि ख़ुदी का वहम-ओ-गुमाँ नहीं
ये सुरूर-ए-साग़र-ए-मय नहीं ये ख़ुमार-ए-ख़्वाब-ए-गिराँ नहीं
जो ज़ुहूर-ए-आलम-ए-ज़ात है ये फ़क़त हुजूम-ए-सिफ़ात है
है जहाँ का और वजूद क्या जो तिलिस्म-ए-वहम-ओ-गुमाँ नहीं
ये हयात आलम-ए-ख़्वाब है न गुनाह है न सवाब है
वही कुफ़्र-ओ-दीं में ख़राब है जिसे इल्म-ए-राज़-ए-जहाँ नहीं
न वो ख़ुम में बादे का जोश है न वो हुस्न जल्वा-फ़रोश है
न किसी को रात का होश है वो सहर कि शब का गुमाँ नहीं
वो ज़मीं पे जिन का था दबदबा कि बुलंद अर्श पे नाम था
उन्हें यूँ फ़लक ने मिटा दिया कि मज़ार तक का निशाँ नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chakbast Brij Narayan
our suggestion based on Chakbast Brij Narayan
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari