kuchh aisa paas-e-ghairat uth gaya is ahad-e-pur-fan mein | कुछ ऐसा पास-ए-ग़ैरत उठ गया इस अहद-ए-पुर-फ़न में

  - Chakbast Brij Narayan

kuchh aisa paas-e-ghairat uth gaya is ahad-e-pur-fan mein
ki zewar ho gaya tauq-e-ghulaami apni gardan mein

shajar sakte mein hain khaamosh hain bulbul nasheeman mein
sidhaaraa qaafila phoolon ka sannaata hai gulshan mein

garaan thi dhoop aur shabnam bhi jin paudon ko gulshan mein
tiri qudrat se vo phoole-phale sehra ke daaman mein

hawa-e-taaza dil ko khud-bakhud bechain karti hai
qafas mein kah gaya koi bahaar aayi hai gulshan mein

mitaana tha use bhi jazba-e-shauq-e-fana tujh ko
nishaan-e-qabr-e-majnoon daagh hai sehra ke daaman mein

zamaana mein nahin ahl-e-hunr ka qadar-daan baaki
nahin to saikron moti hain is dariya ke daaman mein

yahan tasbeeh ka halka wahan zunnar ka fanda
aseeri laazmi hai mazhab-e-sheikh-o-barahman mein

jinhen seencha tha khoon-e-dil se agle baagbaanon ne
tarsate ab hain paani ko vo paude mere gulshan mein

dikhaaya mo'jiza husn-e-bashar ka dast-e-qudrat ne
bhari taaseer tasveer-e-gilee ke rang-o-rogan mein

shaheed-e-yaas hoon rusva hoon naakaami ke haathon se
jigar ka chaak badh kar aa gaya hai mere daaman mein

jahaan mein rah ke yun qaaim hoon apni be-sabaati par
ki jaise aks-e-gul rehta hai aab-e-joo-e-gulshan mein

sharaab-e-husn ko kuchh aur hi taaseer deta hai
jawaani ke numoo se be-khabar hona ladakpan mein

shabaab aaya hai paida rang hai rukhsaar-e-naazuk se
farogh-e-husn kehta hai sehar hoti hai gulshan mein

nahin hota hai muhtaaj-e-numaish faiz shabnam ka
andheri raat mein moti luta jaati hai gulshan mein

mata-e-dard-e-dil ik daulat-e-bedaar hai mujh ko
dur-e-shahwaar hain ashk-e-mohabbat mere daaman mein

na batlaai kisi ne bhi haqeeqat raaz-e-hasti ki
buton se ja ke sar phoda bahut dair-e-barahman mein

puraani kaavishein dair-o-haram ki mitati jaati hai
nayi tahzeeb ke jhagde hain ab shaikh-o-barhaman mein

uda kar le gai baad-e-khizaan is saal us ko bhi
raha tha ek barg-e-zard baaki mere gulshan mein

watan ki khaak se mar kar bhi ham ko uns baaki hai
maza daaman-e-maadar ka hai is mitti ke daaman mein

कुछ ऐसा पास-ए-ग़ैरत उठ गया इस अहद-ए-पुर-फ़न में
कि ज़ेवर हो गया तौक़-ए-ग़ुलामी अपनी गर्दन में

शजर सकते में हैं ख़ामोश हैं बुलबुल नशेमन में
सिधारा क़ाफ़िला फूलों का सन्नाटा है गुलशन में

गराँ थी धूप और शबनम भी जिन पौदों को गुलशन में
तिरी क़ुदरत से वो फूले-फले सहरा के दामन में

हवा-ए-ताज़ा दिल को ख़ुद-बख़ुद बेचैन करती है
क़फ़स में कह गया कोई बहार आई है गुलशन में

मिटाना था उसे भी जज़्बा-ए-शौक़-ए-फ़ना तुझ को
निशान-ए-क़ब्र-ए-मजनूँ दाग़ है सहरा के दामन में

ज़माना में नहीं अहल-ए-हुनर का क़दर-दाँ बाक़ी
नहीं तो सैकड़ों मोती हैं इस दरिया के दामन में

यहाँ तस्बीह का हल्क़ा वहाँ ज़ुन्नार का फंदा
असीरी लाज़मी है मज़हब-ए-शैख़-ओ-बरहमन में

जिन्हें सींचा था ख़ून-ए-दिल से अगले बाग़बानों ने
तरसते अब हैं पानी को वो पौदे मेरे गुलशन में

दिखाया मो'जिज़ा हुस्न-ए-बशर का दस्त-ए-क़ुदरत ने
भरी तासीर तस्वीर-ए-गिली के रंग-ओ-रोग़न में

शहीद-ए-यास हूँ रुस्वा हूँ नाकामी के हाथों से
जिगर का चाक बढ़ कर आ गया है मेरे दामन में

जहाँ में रह के यूँ क़ाएम हूँ अपनी बे-सबाती पर
कि जैसे अक्स-ए-गुल रहता है आब-ए-जू-ए-गुलशन में

शराब-ए-हुस्न को कुछ और ही तासीर देता है
जवानी के नुमू से बे-ख़बर होना लड़कपन में

शबाब आया है पैदा रंग है रुख़्सार-ए-नाज़ुक से
फ़रोग़-ए-हुस्न कहता है सहर होती है गुलशन में

नहीं होता है मुहताज-ए-नुमाइश फ़ैज़ शबनम का
अँधेरी रात में मोती लुटा जाती है गुलशन में

मता-ए-दर्द-ए-दिल इक दौलत-ए-बेदार है मुझ को
दुर-ए-शहवार हैं अश्क-ए-मोहब्बत मेरे दामन में

न बतलाई किसी ने भी हक़ीक़त राज़-ए-हस्ती की
बुतों से जा के सर फोड़ा बहुत दैर-ए-बरहमन में

पुरानी काविशें दैर-ओ-हरम की मिटती जाती है
नई तहज़ीब के झगड़े हैं अब शैख़-ओ-बरहमन में

उड़ा कर ले गई बाद-ए-ख़िज़ाँ इस साल उस को भी
रहा था एक बर्ग-ए-ज़र्द बाक़ी मेरे गुलशन में

वतन की ख़ाक से मर कर भी हम को उन्स बाक़ी है
मज़ा दामान-ए-मादर का है इस मिट्टी के दामन में

  - Chakbast Brij Narayan

Patriotic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chakbast Brij Narayan

As you were reading Shayari by Chakbast Brij Narayan

Similar Writers

our suggestion based on Chakbast Brij Narayan

Similar Moods

As you were reading Patriotic Shayari Shayari