zabaan ko band karein ya mujhe aseer karein
mere khayal ko bedi pinhaa nahin sakte
ye kaisi bazm hai aur kaise us ke saaqi hain
sharaab haath mein hai aur pila nahin sakte
ye bekasi bhi ajab bekasi hai duniya mein
koi sataaye hamein ham sata nahin sakte
kashish wafa ki unhen kheench laai aakhir-kaar
ye tha raqeeb ko da'wa vo aa nahin sakte
jo tu kahe to shikaayat ka zikr kam kar den
magar yaqeen tire va'don pe la nahin sakte
charaagh qaum ka raushan hai arsh par dil ke
use hawa ke farishte bujha nahin sakte
ज़बाँ को बंद करें या मुझे असीर करें
मिरे ख़याल को बेड़ी पिन्हा नहीं सकते
ये कैसी बज़्म है और कैसे उस के साक़ी हैं
शराब हाथ में है और पिला नहीं सकते
ये बेकसी भी अजब बेकसी है दुनिया में
कोई सताए हमें हम सता नहीं सकते
कशिश वफ़ा की उन्हें खींच लाई आख़िर-कार
ये था रक़ीब को दा'वा वो आ नहीं सकते
जो तू कहे तो शिकायत का ज़िक्र कम कर दें
मगर यक़ीं तिरे वा'दों पे ला नहीं सकते
चराग़ क़ौम का रौशन है अर्श पर दिल के
उसे हवा के फ़रिश्ते बुझा नहीं सकते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chakbast Brij Narayan
our suggestion based on Chakbast Brij Narayan
As you were reading Dushmani Shayari Shayari