ham sochte hain raat mein taaron ko dekh kar | हम सोचते हैं रात में तारों को देख कर

  - Chakbast Brij Narayan

ham sochte hain raat mein taaron ko dekh kar
shamaein zameen ki hain jo daagh aasmaan ke hain

jannat mein khaak baada-paraston ka dil lage
naqshe nazar mein sohbat peer-e-mugaan ke hain

apna maqaam shaakh-e-bureeda hai baagh mein
gul hain magar sataaye hue baagbaan ke hain

ik silsila havas ka hai insaan ki zindagi
is ek musht-e-khaak ko gham do-jahaan ke hain

हम सोचते हैं रात में तारों को देख कर
शमएँ ज़मीन की हैं जो दाग़ आसमाँ के हैं

जन्नत में ख़ाक बादा-परस्तों का दिल लगे
नक़्शे नज़र में सोहबत पीर-ए-मुग़ाँ के हैं

अपना मक़ाम शाख़-ए-बुरीदा है बाग़ में
गुल हैं मगर सताए हुए बाग़बाँ के हैं

इक सिलसिला हवस का है इंसाँ की ज़िंदगी
इस एक मुश्त-ए-ख़ाक को ग़म दो-जहाँ के हैं

  - Chakbast Brij Narayan

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chakbast Brij Narayan

As you were reading Shayari by Chakbast Brij Narayan

Similar Writers

our suggestion based on Chakbast Brij Narayan

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari