faza-e-qurb mein betaabi-e-dil badhti jaati hai | फ़ज़ा-ए-क़ुर्ब में बेताबी-ए-दिल बढ़ती जाती है

  - Chaudhary Moinuddin Usmani Arif

faza-e-qurb mein betaabi-e-dil badhti jaati hai
mohabbat ki tadap manzil-b-manzil badhti jaati hai

udhar baarish musalsal jalwa-ha-e-be-mahaaba ki
adhar mahdood nazaare ki mushkil badhti jaati hai

pahunchta ja raha hoon auj-e-idraak-e-haqeeqat tak
barabar himmat-e-qat'-e-manaazil badhti jaati hai

idhar mere liye chashm-e-talab khoob anjuman un ki
udhar begaangi-e-ahl-e-mahfil badhti jaati hai

yahi mausam hai barq-o-aashiyaan ke chhed ka mausam
bahaar aayi to kuchh fikr-e-anaadil badhti jaati hai

jalane ko to parwaana jo paaye sab jala dale
magar afsurdagi-e-sham'-e-mahfil badhti jaati hai

talaash-e-joo-e-sheer aasaan jo azm-e-kohkan bhi ho
suhoolat dhoondhne waalon ki mushkil badhti jaati hai

bahaar-e-taaza aane ko hai phir aarif gulistaan mein
bahr-soo naghma-sanji-e-anaadil badhti jaati hai

फ़ज़ा-ए-क़ुर्ब में बेताबी-ए-दिल बढ़ती जाती है
मोहब्बत की तड़प मंज़िल-ब-मंज़िल बढ़ती जाती है

उधर बारिश मुसलसल जल्वा-हा-ए-बे-महाबा की
अधर महदूद नज़ारे की मुश्किल बढ़ती जाती है

पहुँचता जा रहा हूँ औज-ए-इदराक-ए-हक़ीक़त तक
बराबर हिम्मत-ए-क़त्अ-ए-मनाज़िल बढ़ती जाती है

इधर मेरे लिए चश्म-ए-तलब ख़ूब अंजुमन उन की
उधर बेगानगि-ए-अहल-ए-महफ़िल बढ़ती जाती है

यही मौसम है बर्क़-ओ-आशियाँ के छेड़ का मौसम
बहार आई तो कुछ फ़िक्र-ए-अनादिल बढ़ती जाती है

जलाने को तो परवाना जो पाए सब जला डाले
मगर अफ़्सुर्दगि-ए-शम्अ'-ए-महफ़िल बढ़ती जाती है

तलाश-ए-जू-ए-शीर आसाँ जो अज़्म-ए-कोहकन भी हो
सुहूलत ढूँडने वालों की मुश्किल बढ़ती जाती है

बहार-ए-ताज़ा आने को है फिर 'आरिफ़' गुलिस्ताँ में
बहर-सू नग़्मा-संजि-ए-अनादिल बढ़ती जाती है

  - Chaudhary Moinuddin Usmani Arif

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chaudhary Moinuddin Usmani Arif

As you were reading Shayari by Chaudhary Moinuddin Usmani Arif

Similar Writers

our suggestion based on Chaudhary Moinuddin Usmani Arif

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari