idhar dekh lena udhar dekh lena
kan-ankiyon se us ko magar dekh lena
faqat nabz se haal zaahir na hoga
mera dil bhi ai chaaragar dekh lena
kabhi zikr-e-deedaar aaya to bole
qayamat se bhi pesh-tar dekh lena
na dena khat-e-shauq ghabra ke pehle
mahal mauqa ai nama-bar dekh lena
kahi aise bigde sanvarte bhi dekhe
na aayenge vo raah par dekh lena
taghaaful mein shokhi niraali ada thi
gazab tha vo munh fer kar dekh lena
shab-e-wa'da apna yahi mashghala tha
utha kar nazar soo-e-dar dekh lena
bulaaya jo ghairoon ko daawat mein tum ne
mujhe pesh-tar apne ghar dekh lena
mohabbat ke bazaar mein aur kya hai
koi dil dikhaaye agar dekh lena
mere saamne gair se bhi ishaare
idhar bhi udhar dekh kar dekh lena
na ho naazuk itna bhi mashtaata koi
dehan dekh lena kamar dekh lena
nahin rakhne dete jahaan paanv ham ko
usi aastaane pe sar dekh lena
tamasha-e-aalam ki furqat hai kis ko
ghaneemat hai bas ik nazar dekh lena
diye jaate hain aaj kuchh likh ke tum ko
use waqt-e-fursat magar dekh lena
humeen jaan denge humeen mar mitenge
hamein tum kisi waqt par dekh lena
jalaya to hai daagh ke dil ko tum ne
magar is ka hoga asar dekh lena
इधर देख लेना उधर देख लेना
कन-अँखियों से उस को मगर देख लेना
फ़क़त नब्ज़ से हाल ज़ाहिर न होगा
मिरा दिल भी ऐ चारागर देख लेना
कभी ज़िक्र-ए-दीदार आया तो बोले
क़यामत से भी पेश-तर देख लेना
न देना ख़त-ए-शौक़ घबरा के पहले
महल मौक़ा ऐ नामा-बर देख लेना
कहीं ऐसे बिगड़े सँवरते भी देखे
न आएँगे वो राह पर देख लेना
तग़ाफ़ुल में शोख़ी निराली अदा थी
ग़ज़ब था वो मुँह फेर कर देख लेना
शब-ए-वा'दा अपना यही मश्ग़ला था
उठा कर नज़र सू-ए-दर देख लेना
बुलाया जो ग़ैरों को दावत में तुम ने
मुझे पेश-तर अपने घर देख लेना
मोहब्बत के बाज़ार में और क्या है
कोई दिल दिखाए अगर देख लेना
मिरे सामने ग़ैर से भी इशारे
इधर भी उधर देख कर देख लेना
न हो नाज़ुक इतना भी मश्शाता कोई
दहन देख लेना कमर देख लेना
नहीं रखने देते जहाँ पाँव हम को
उसी आस्ताने पे सर देख लेना
तमाशा-ए-आलम की फ़ुर्सत है किस को
ग़नीमत है बस इक नज़र देख लेना
दिए जाते हैं आज कुछ लिख के तुम को
उसे वक़्त-ए-फ़ुर्सत मगर देख लेना
हमीं जान देंगे हमीं मर मिटेंगे
हमें तुम किसी वक़्त पर देख लेना
जलाया तो है 'दाग़' के दिल को तुम ने
मगर इस का होगा असर देख लेना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi
our suggestion based on Dagh Dehlvi
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari