jo ho saka hai us se vo kisi se ho nahin saka
magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin saka
mohabbat mein kare kya kuchh kisi se ho nahin saka
mera marna bhi to meri khushi se ho nahin saka
alag karna raqeebon ka ilaahi tujh ko aasaan hai
mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin saka
kiya hai waada-e-farda unhon ne dekhiye kya ho
yahan sabr o tahammul aaj hi se ho nahin saka
ye mushtaqq-e-shahaadat kis jagah jaayen kise dhunden
ki tera kaam qaateel jab tujhi se ho nahin saka
laga kar teg qissa paak kijie daad-khwaaho ka
kisi ka faisla kar munsifi se ho nahin saka
mera dushman b-zaahir chaar din ko dost hai tera
kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin saka
pursish kahoge kya wahan jab yaa ye soorat hai
ada ik harf-e-waada nazuki se ho nahin saka
na kahiye go ki haal-e-dil magar rang-aashnaa hain ham
ye zaahir aap ki kya khaamoshi se ho nahin saka
kiya jo ham ne zalim kya karega gair munh kya hai
kare to sabr aisa aadmi se ho nahin saka
chaman mein naaz bulbul ne kiya jo apni naale par
chatk kar guncha bola kya kisi se ho nahin saka
nahin gar tujh pe qaabu dil hai par kuchh zor ho apna
karoon kya ye bhi to na-taaqati se ho nahin saka
na rona hai tariqe ka na hansna hai saleeqe ka
pareshaani mein koi kaam jee se ho nahin saka
hua hoon is qadar mahjoob arz-e-muddaa kar ke
ki ab to uzr bhi sharmindagi se ho nahin saka
gazab mein jaan hai kya kijeye badla ranj-e-furqat ka
badi se kar nahin sakte khushi se ho nahin saka
maza jo iztiraab-e-shauq se aashiq ko hai haasil
vo tasleem o raza o bandagi se ho nahin saka
khuda jab dost hai ai daagh kya dushman se andesha
hamaara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin saka
जो हो सकता है उस से वो किसी से हो नहीं सकता
मगर देखो तो फिर कुछ आदमी से हो नहीं सकता
मोहब्बत में करे क्या कुछ किसी से हो नहीं सकता
मिरा मरना भी तो मेरी ख़ुशी से हो नहीं सकता
अलग करना रक़ीबों का इलाही तुझ को आसाँ है
मुझे मुश्किल कि मेरी बेकसी से हो नहीं सकता
किया है वादा-ए-फ़र्दा उन्हों ने देखिए क्या हो
यहाँ सब्र ओ तहम्मुल आज ही से हो नहीं सकता
ये मुश्ताक़-ए-शहादत किस जगह जाएँ किसे ढूँडें
कि तेरा काम क़ातिल जब तुझी से हो नहीं सकता
लगा कर तेग़ क़िस्सा पाक कीजिए दाद-ख़्वाहों का
किसी का फ़ैसला कर मुंसिफ़ी से हो नहीं सकता
मिरा दुश्मन ब-ज़ाहिर चार दिन को दोस्त है तेरा
किसी का हो रहे ये हर किसी से हो नहीं सकता
पुर्सिश कहोगे क्या वहाँ जब याँ ये सूरत है
अदा इक हर्फ़-ए-वादा नाज़ुकी से हो नहीं सकता
न कहिए गो कि हाल-ए-दिल मगर रंग-आश्ना हैं हम
ये ज़ाहिर आप की क्या ख़ामुशी से हो नहीं सकता
किया जो हम ने ज़ालिम क्या करेगा ग़ैर मुँह क्या है
करे तो सब्र ऐसा आदमी से हो नहीं सकता
चमन में नाज़ बुलबुल ने किया जो अपनी नाले पर
चटक कर ग़ुंचा बोला क्या किसी से हो नहीं सकता
नहीं गर तुझ पे क़ाबू दिल है पर कुछ ज़ोर हो अपना
करूँ क्या ये भी तो ना-ताक़ती से हो नहीं सकता
न रोना है तरीक़े का न हँसना है सलीक़े का
परेशानी में कोई काम जी से हो नहीं सकता
हुआ हूँ इस क़दर महजूब अर्ज़-ए-मुद्दआ कर के
कि अब तो उज़्र भी शर्मिंदगी से हो नहीं सकता
ग़ज़ब में जान है क्या कीजे बदला रंज-ए-फ़ुर्क़त का
बदी से कर नहीं सकते ख़ुशी से हो नहीं सकता
मज़ा जो इज़्तिराब-ए-शौक़ से आशिक़ को है हासिल
वो तस्लीम ओ रज़ा ओ बंदगी से हो नहीं सकता
ख़ुदा जब दोस्त है ऐ 'दाग़' क्या दुश्मन से अंदेशा
हमारा कुछ किसी की दुश्मनी से हो नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi
our suggestion based on Dagh Dehlvi
As you were reading Gulshan Shayari Shayari