kaabe ki hai havas kabhi koo-e-butaan ki hai | काबे की है हवस कभी कू-ए-बुताँ की है

  - Dagh Dehlvi

kaabe ki hai havas kabhi koo-e-butaan ki hai
mujh ko khabar nahin meri mitti kahaan ki hai

sun ke mera fasana unhen lutf aa gaya
sunta hoon ab ki roz talab qissa-khwaan ki hai

paigham-bar ki baat par aapas mein ranj kya
meri zabaan ki hai na tumhaari zabaan ki hai

kuchh taazgi ho lazzat-e-aazaar ke liye
har dam mujhe talash naye aasmaan ki hai

jaan-bar bhi ho gaye hain bahut mujh se neem-jaan
kya gham hai ai tabeeb jo poori wahan ki hai

hasrat baras rahi hai hamaare mazaar par
kahte hain sab ye qabr kisi naujavaan ki hai

waqt-e-khiraam-e-naaz dikha do juda juda
ye chaal hashr ki ye ravish aasmaan ki hai

furqat kahaan ki ham se kisi waqt tu mile
din gair ka hai raat tire paasbaan ki hai

qaasid ki guftugoo se tasalli ho kis tarah
chhupti nahin vo baat jo teri zabaan ki hai

jor-e-raqeeb o zulm-e-falak ka nahin khayal
tashveesh ek khaatir-e-na-mehrabaan ki hai

sun kar mera fasaana-e-gham us ne ye kaha
ho jaaye jhooth sach yahi khoobi bayaan ki hai

daaman sambhaal baandh kamar aasteen chadha
khanjar nikaal dil mein agar imtihaan ki hai

har har nafs mein dil se nikalne laga ghubaar
kya jaane gard-e-raah ye kis kaarwaan ki hai

kyunki na aate khuld se aadam zameen par
mauzoon wahin vo khoob hai jo sunte jahaan ki hai

taqdeer se ye pooch raha hoon ki ishq mein
tadbeer koi bhi sitam-e-na-gahaan ki hai

urdu hai jis ka naam humeen jaante hain daagh
hindostaan mein dhoom hamaari zabaan ki hai

काबे की है हवस कभी कू-ए-बुताँ की है
मुझ को ख़बर नहीं मिरी मिट्टी कहाँ की है

सुन के मिरा फ़साना उन्हें लुत्फ़ आ गया
सुनता हूँ अब कि रोज़ तलब क़िस्सा-ख़्वाँ की है

पैग़ाम-बर की बात पर आपस में रंज क्या
मेरी ज़बाँ की है न तुम्हारी ज़बाँ की है

कुछ ताज़गी हो लज़्ज़त-ए-आज़ार के लिए
हर दम मुझे तलाश नए आसमाँ की है

जाँ-बर भी हो गए हैं बहुत मुझ से नीम-जाँ
क्या ग़म है ऐ तबीब जो पूरी वहाँ की है

हसरत बरस रही है हमारे मज़ार पर
कहते हैं सब ये क़ब्र किसी नौजवाँ की है

वक़्त-ए-ख़िराम-ए-नाज़ दिखा दो जुदा जुदा
ये चाल हश्र की ये रविश आसमाँ की है

फ़ुर्सत कहाँ कि हम से किसी वक़्त तू मिले
दिन ग़ैर का है रात तिरे पासबाँ की है

क़ासिद की गुफ़्तुगू से तसल्ली हो किस तरह
छुपती नहीं वो बात जो तेरी ज़बाँ की है

जौर-ए-रक़ीब ओ ज़ुल्म-ए-फ़लक का नहीं ख़याल
तशवीश एक ख़ातिर-ए-ना-मेहरबाँ की है

सुन कर मिरा फ़साना-ए-ग़म उस ने ये कहा
हो जाए झूट सच यही ख़ूबी बयाँ की है

दामन संभाल बाँध कमर आस्तीं चढ़ा
ख़ंजर निकाल दिल में अगर इम्तिहाँ की है

हर हर नफ़स में दिल से निकलने लगा ग़ुबार
क्या जाने गर्द-ए-राह ये किस कारवाँ की है

क्यूँकि न आते ख़ुल्द से आदम ज़मीन पर
मौज़ूँ वहीं वो ख़ूब है जो सुनते जहाँ की है

तक़दीर से ये पूछ रहा हूँ कि इश्क़ में
तदबीर कोई भी सितम-ए-ना-गहाँ की है

उर्दू है जिस का नाम हमीं जानते हैं 'दाग़'
हिन्दोस्ताँ में धूम हमारी ज़बाँ की है

  - Dagh Dehlvi

Doctor Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Doctor Shayari Shayari