ret mutthi mein bhari paani se aaghaaz kiya
sakht mushkil mein tha aasaani se aaghaaz kiya
mujh ko mitti se badan bante hue umr lagi
meri ta'aamir ne veeraani se aaghaaz kiya
ye jahaanon ka zamaanon ka makaanon ka safar
ghaib ne lafz se ya maani se aaghaaz kiya
jab bhi ye aankh anaasir ki taraf dekhti hai
yaad aata hai pareshaani se aaghaaz kiya
jism aur ism mujhe kaise mile kis ne diye
in savaalaat ki hairaani se aaghaaz kiya
ek khaamosh samundar tha mere chaar taraf
jis mein awaaz ne tughyaani se aaghaaz kiya
mujh ko bad-soorti-e-jism ka andaaza hai
main ne aaina-e-uryaani se aaghaaz kiya
रेत मुट्ठी में भरी पानी से आग़ाज़ किया
सख़्त मुश्किल में था आसानी से आग़ाज़ किया
मुझ को मिट्टी से बदन बनते हुए उम्र लगी
मेरी ता'मीर ने वीरानी से आग़ाज़ किया
ये जहानों का ज़मानों का मकानों का सफ़र
ग़ैब ने लफ़्ज़ से या मा'नी से आग़ाज़ किया
जब भी ये आँख अनासिर की तरफ़ देखती है
याद आता है परेशानी से आग़ाज़ किया
जिस्म और इस्म मुझे कैसे मिले किस ने दिए
इन सवालात की हैरानी से आग़ाज़ किया
एक ख़ामोश समुंदर था मिरे चार तरफ़
जिस में आवाज़ ने तुग़्यानी से आग़ाज़ किया
मुझ को बद-सूरती-ए-जिस्म का अंदाज़ा है
मैं ने आईना-ए-उर्यानी से आग़ाज़ किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daniyal Tareer
our suggestion based on Daniyal Tareer
As you were reading Safar Shayari Shayari