ujaala hi ujaala raushni hi raushni hai
andhere mein jo teri aankh mujh ko dekhti hai
abhi jaaga hua hoon main ki thak kar so chuka hoon
diye ki lau se koi aankh mujh ko dekhti hai
tajassus har ufuq par dhoondhta rehta hai us ko
kahaan se aur kaisi aankh mujh ko dekhti hai
amal ke waqt ye ehsaas rehta hai hamesha
mere andar se apni aankh mujh ko dekhti hai
main jab bhi raaste mein apne peeche dekhta hoon
wahi ashkon mein bheegi aankh mujh ko dekhti hai
kahi se haath badhte hain mere chehre ki jaanib
kahi se surkh hoti aankh mujh ko dekhti hai
darakhto mujh ko apne sabz patton mein chhupa lo
falak se ek jaltee aankh mujh ko dekhti hai
उजाला ही उजाला रौशनी ही रौशनी है
अँधेरे में जो तेरी आँख मुझ को देखती है
अभी जागा हुआ हूँ मैं कि थक कर सो चुका हूँ
दिए की लौ से कोई आँख मुझ को देखती है
तजस्सुस हर उफ़ुक़ पर ढूँढता रहता है उस को
कहाँ से और कैसी आँख मुझ को देखती है
अमल के वक़्त ये एहसास रहता है हमेशा
मिरे अंदर से अपनी आँख मुझ को देखती है
मैं जब भी रास्ते में अपने पीछे देखता हूँ
वही अश्कों में भीगी आँख मुझ को देखती है
कहीं से हाथ बढ़ते हैं मिरे चेहरे की जानिब
कहीं से सुर्ख़ होती आँख मुझ को देखती है
दरख़्तो मुझ को अपने सब्ज़ पत्तों में छुपा लो
फ़लक से एक जलती आँख मुझ को देखती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daniyal Tareer
our suggestion based on Daniyal Tareer
As you were reading Good morning Shayari Shayari