mitti tha aur doodh mein goondha gaya mujhe
ik chaand ke vujood mein goondha gaya mujhe
main neest aur nabood ki ik kaifiyat mein tha
jab vahm-e-hast-o-bood mein goondha gaya mujhe
main chashm-e-kam-rasa se jise dekhta na tha
us khwaab-e-la-hudood mein goondha gaya mujhe
khas-khaana-e-ziyaan ki shararbaariyon ke ba'ad
yakh-zaar-e-naar-e-sood mein goondha gaya mujhe
ik dast-e-ghaib ne mujhe la chaak par dhara
phir waqt ke jumood mein goondha gaya mujhe
is mein to aasmaan ke shajar bhi samar na den
jis khaak-e-be-numood mein goondha gaya mujhe
qaus-e-quzah ki samt bahut dekhta tha main
aakhir gubaar-o-dood mein goondha gaya mujhe
मिट्टी था और दूध में गूँधा गया मुझे
इक चाँद के वजूद में गूँधा गया मुझे
मैं नीस्त और नबूद की इक कैफ़ियत में था
जब वहम-ए-हस्त-ओ-बूद में गूँधा गया मुझे
मैं चश्म-ए-कम-रसा से जिसे देखता न था
उस ख़्वाब-ए-ला-हुदूद में गूँधा गया मुझे
ख़स-ख़ाना-ए-ज़ियाँ की शररबारियों के बा'द
यख़-ज़ार-ए-नार-ए-सूद में गूँधा गया मुझे
इक दस्त-ए-ग़ैब ने मुझे ला चाक पर धरा
फिर वक़्त के जुमूद में गूँधा गया मुझे
इस में तो आसमाँ के शजर भी समर न दें
जिस ख़ाक-ए-बे-नुमूद में गूँधा गया मुझे
क़ौस-ए-क़ुज़ह की सम्त बहुत देखता था मैं
आख़िर गुबार-ओ-दूद में गूँधा गया मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daniyal Tareer
our suggestion based on Daniyal Tareer
As you were reading Ishaara Shayari Shayari