chain aata hi nahi is bekudi mein | चैन आता ही नही इस बेखुदी में

  - Deep Prakash Gupta

chain aata hi nahi is bekudi mein
dard hi likhne laga hoon shaa'iri mein

bas nivaale ki bachi ab justajoo hai
log to marne lage hain mufleesi mein

hai nahi aasaan use main pa sakoon ab
kya karoon main yaar ab is bebaasi mein

lag raha waqt bhi hamse khafa hai
kuchh bacha bhi ab kahaan is zindagi mein

ab ujaale bhi yahan hain aankh moonde
kuchh nazar aata kahaan hai teergi mein

padh sako to padh hamaari diary ko
kaid yaadein hain bahut us diary mein

bhool saka hi nahi us shakhs ko main
baat us jaisi nahi hai kisi mein

deep tum samjhe nahi us saadgi ko
loot to tum ab chuke hi saadgi mein

चैन आता ही नही इस बेखुदी में
दर्द ही लिखने लगा हूँ शाईरी में

बस निवाले की बची अब जुस्तजू है
लोग तो मरने लगे हैं मुफलिसी में

है नही आसां उसे मैं पा सकूँ अब
क्या करूँ मैं यार अब इस बेबसी में

लग रहा वक़्त भी हमसे ख़फ़ा है
कुछ बचा भी अब कहाँ इस ज़िंदगी में

अब उजाले भी यहाँ हैं आँख मूंदे
कुछ नज़र आता कहाँ है तीरगी में

पढ़ सको तो पढ़ हमारी डायरी को
कैद यादें हैं बहुत उस डायरी में

भूल सकता ही नही उस शख्स को मैं
बात उस जैसी नही है किसी में

दीप तुम समझे नही उस सादगी को
लूट तो तुम अब चुके ही सादगी में

  - Deep Prakash Gupta

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Deep Prakash Gupta

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari