hilore gungunaati baaliyon ke | हिलोरे गुनगुनाती बालियों के

  - Deepak Qamar

hilore gungunaati baaliyon ke
banaate daayere sargoshiyon ke

bahut hain vaar teekhe bijliyon ke
katenge pankh chanchal badliyon ke

akela aa gaye jaane kahaan ham
nishaan milte nahin hain saathiyo ke

ufuq pe shaam ne patki hain baanhe
bikhere kaanch tukde chudiyon ke

duboyenge nagar ko saath apne
bhanwar dil mein bane hain baasiyon ke

chhupa kar le gaye suraj ki kirnen
ghanere saaye gahri vaadiyon ke

kali dil ki na jaane kab khilegi
bhare phoolon se baazu tehniyon ke

हिलोरे गुनगुनाती बालियों के
बनाते दाएरे सरगोशियों के

बहुत हैं वार तीखे बिजलियों के
कटेंगे पँख चंचल बदलियों के

अकेले आ गए जाने कहाँ हम
निशाँ मिलते नहीं हैं साथियों के

उफ़ुक़ पे शाम ने पटकी हैं बाँहें
बिखेरे काँच टुकड़े चूड़ियों के

डुबोएँगे नगर को साथ अपने
भँवर दिल में बने हैं बासियों के

छुपा कर ले गए सूरज की किरनें
घनेरे साए गहरी वादियों के

कली दिल की न जाने कब खिलेगी
भरे फूलों से बाज़ू टहनियों के

  - Deepak Qamar

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepak Qamar

As you were reading Shayari by Deepak Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Deepak Qamar

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari