kitne khayal raat ki palkon mein aaye the
kirnon ne sab charaagh savere bujaaye the
chalna pada hawa ko bhi daaman sanbhaal kar
phoolon ke saath raah mein kaante bichhaaye the
paani bacha ke rakh liya veeraaniyon ke beech
kis ne hazaaron kos se panchi bulaaye the
sarsabz vo hi ped hua mod ki tarah
jis ne hawa mein pankh se patte udaaye the
rasm-o-rivaaj ki amar belon ne das liya
ham ne azal se khud hi ye bandhan banaaye the
taare gaye kahaan ye wahin ke wahin rahe
din se chhupaaye jo wahin shab ne dikhaaye the
badle libaas aadmi har rut ke rang mein
patthar ke yug mein aaj ke kapde silaaye the
baahar faqeer ne kahi dera laga liya
bazaar saare shehar ke ham ne sajaaye the
alfaaz ka hujoom tha pahchaante kise
kitne hi bin bulaaye kitaabon mein aaye the
कितने ख़याल रात की पलकों में आए थे
किरनों ने सब चराग़ सवेरे बुझाए थे
चलना पड़ा हवा को भी दामन सँभाल कर
फूलों के साथ राह में काँटे बिछाए थे
पानी बचा के रख लिया वीरानियों के बीच
किस ने हज़ारों कोस से पंछी बुलाए थे
सरसब्ज़ वो ही पेड़ हुआ मोड़ की तरह
जिस ने हवा में पँख से पत्ते उड़ाए थे
रस्म-ओ-रिवाज की अमर बेलों ने डस लिया
हम ने अज़ल से ख़ुद ही ये बंधन बनाए थे
तारे गए कहाँ ये वहीं के वहीं रहे
दिन से छुपाए जो वही शब ने दिखाए थे
बदले लिबास आदमी हर रुत के रंग में
पत्थर के युग में आज के कपड़े सिलाये थे
बाहर फ़क़ीर ने कहीं डेरा लगा लिया
बाज़ार सारे शहर के हम ने सजाए थे
अल्फ़ाज़ का हुजूम था पहचानते किसे
कितने ही बिन बुलाए किताबों में आए थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Qamar
our suggestion based on Deepak Qamar
As you were reading Neend Shayari Shayari