saloni shaam ke aangan mein jab do waqt milte hain | सलोनी शाम के आँगन में जब दो वक़्त मिलते हैं

  - Deepak Qamar

saloni shaam ke aangan mein jab do waqt milte hain
bhatkte ham se un saayo mein kuchh aadhe adhoore hain

samundar hai hamaare saamne maghroor-o-khud-sar sa
hamein ik pul bana kar faasle sab paar karne hain

andheron se ujaalon tak ujaalon se andheron tak
sada gardish hi gardish hai kahaan jaane vo pahunchen hain

zameen ke phool sone aur chaandi se nahin khilte
kisi mehnat ki khushboo se sabhi aanchal mehakte hain

wahi hain saanp vishkanya ko das kar paalne waale
meri nagri ko rah rah kar vo ab bhi zahar dete hain

har ik ehsaas ki pehchaan khatt-o-khaal kho baithi
vo apne aap mein doobe hue gum-sum se rahte hain

सलोनी शाम के आँगन में जब दो वक़्त मिलते हैं
भटकते हम से उन सायों में कुछ आधे अधूरे हैं

समुंदर है हमारे सामने मग़रूर-ओ-ख़ुद-सर सा
हमें इक पुल बना कर फ़ासले सब पार करने हैं

अंधेरों से उजालों तक उजालों से अंधेरों तक
सदा गर्दिश ही गर्दिश है कहाँ जाने वो पहुँचे हैं

ज़मीं के फूल सोने और चाँदी से नहीं खिलते
किसी मेहनत की ख़ुशबू से सभी आँचल महकते हैं

वही हैं साँप विषकन्या को डस कर पालने वाले
मिरी नगरी को रह रह कर वो अब भी ज़हर देते हैं

हर इक एहसास की पहचान ख़त्त-ओ-ख़ाल खो बैठी
वो अपने आप में डूबे हुए गुम-सुम से रहते हैं

  - Deepak Qamar

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepak Qamar

As you were reading Shayari by Deepak Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Deepak Qamar

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari