kaajal bhara hai nain mein aur munh mein paan bhi
milta nahin hai roop ka lekin nishaan bhi
ab kya kahein vo jhaankne waale nahin rahe
natkhat gali wahi hai aur baanka makaan bhi
dil ki puraani baansuri le kar kahi chalen
tarkash ke saath tod den teer-o-kamaan bhi
is tang-dil se shehar mein kya soch ke base
aangan gaya tha saath mein khoya hai lawn bhi
jungle ke baasiyon ke sabhi jaal kaat den
fenke uda ke aandhiyaan unche machaan bhi
chhote se dil ka aur tha ik paanv teesra
dene ko de diye the use do-jahaan bhi
in ki ghazal ka kya kahein jaadu charaagh hai
rahne ko ye makaan hai ghar ki dukaan bhi
काजल भरा है नैन में और मुँह में पान भी
मिलता नहीं है रूप का लेकिन निशान भी
अब क्या कहें वो झाँकने वाले नहीं रहे
नटखट गली वही है और बाँका मकान भी
दिल की पुरानी बाँसुरी ले कर कहीं चलें
तरकश के साथ तोड़ दें तीर-ओ-कमान भी
इस तंग-दिल से शहर में क्या सोच के बसे
आँगन गया था साथ में खोया है लॉन भी
जंगल के बासियों के सभी जाल काट दें
फेंके उड़ा के आँधियाँ ऊँचे मचान भी
छोटे से दिल का और था इक पाँव तीसरा
देने को दे दिए थे उसे दो-जहान भी
इन की ग़ज़ल का क्या कहें जादू चराग़ है
रहने को ये मकान है घर की दुकान भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Qamar
our suggestion based on Deepak Qamar
As you were reading Shahr Shayari Shayari