aaya kabhi khayal to dil se lipt gaya | आया कभी ख़याल तो दिल से लिपट गया

  - Deepak Qamar

aaya kabhi khayal to dil se lipt gaya
kaise samaa ke phir koi jeevan se hat gaya

purva chali thi gaanth ko aanchal se baandhne
daaman ghatta ka haath mein aate hi phat gaya

baithe hain shaam odh ke tanhaaiyon mein ham
ik hans apni daar se jaise ho kat gaya

badla nagar ne baadh ka munh apni samt se
nadiya mein bah ke gaav ka chhota sa tat gaya

jhonka sa tha kya chulbula pariyon ke desh ka
barson ki saadhna ka vo aasan ult gaya

bhule se aaya megh kabhi dhoop ke nagar
man-mor naachne se vo pehle hi chhat gaya

talwaarein mandiron se nikal kar jhapat padeen
sadiyon puraana sar ka chamakta mukat gaya

आया कभी ख़याल तो दिल से लिपट गया
कैसे समा के फिर कोई जीवन से हट गया

पुर्वा चली थी गाँठ को आँचल से बाँधने
दामन घटा का हाथ में आते ही फट गया

बैठे हैं शाम ओढ़ के तन्हाइयों में हम
इक हंस अपनी डार से जैसे हो कट गया

बदला नगर ने बाढ़ का मुँह अपनी सम्त से
नदिया में बह के गाँव का छोटा सा तट गया

झोंका सा था क्या चुलबुला परियों के देश का
बरसों की साधना का वो आसन उलट गया

भूले से आया मेघ कभी धूप के नगर
मन-मोर नाचने से वो पहले ही छट गया

तलवारें मंदिरों से निकल कर झपट पड़ीं
सदियों पुराना सर का चमकता मुकट गया

  - Deepak Qamar

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepak Qamar

As you were reading Shayari by Deepak Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Deepak Qamar

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari