nazar aaya na koi bhi idhar dekha udhar dekha
wahan pahunchen to apne aap ko bhi be-nazar dekha
ye dhoka tha nazar ka ya farishta sabz chadar mein
kahi sehra mein lehraata hua us ne shajar dekha
kahi pe jism aur pehchaan dono raah mein chhode
khud apne aap ko ham ne na apna hum-safar dekha
bane kya aashiyaan taaza hawa na ped ke jhurmut
kisi udte parinde ne naye yug ka nagar dekha
lage the aaine chaaron taraf shaayad mohabbat ke
nazar ke saamne tha bas wahi ham ne jidhar dekha
zameen ki sej par saaye ki chadar odh kar soya
kisi banjaare sailaani ne raaste mein hi ghar dekha
kabhi ham doob jaayenge isee mein sochte har dam
hamaare dil ne jab dekha habaabon ka bhanwar dekha
नज़र आया न कोई भी इधर देखा उधर देखा
वहाँ पहुँचे तो अपने आप को भी बे-नज़र देखा
ये धोका था नज़र का या फ़रिश्ता सब्ज़ चादर में
कहीं सहरा में लहराता हुआ उस ने शजर देखा
कहीं पे जिस्म और पहचान दोनों राह में छोड़े
ख़ुद अपने आप को हम ने न अपना हम-सफ़र देखा
बने क्या आशियाँ ताज़ा हवा न पेड़ के झुरमुट
किसी उड़ते परिंदे ने नए युग का नगर देखा
लगे थे आइने चारों तरफ़ शायद मोहब्बत के
नज़र के सामने था बस वही हम ने जिधर देखा
ज़मीं की सेज पर साए की चादर ओढ़ कर सोया
किसी बंजारे सैलानी ने रस्ते में ही घर देखा
कभी हम डूब जाएँगे इसी में सोचते हर दम
हमारे दिल ने जब देखा हबाबों का भँवर देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Qamar
our suggestion based on Deepak Qamar
As you were reading Raasta Shayari Shayari