har ik lab par khamoshi ki sada thi
duaon mein badalti si hawa thi
kushaada failte aangan dilon ke
sabhi ke vaaste ghar mein jagah thi
jise samjhe hue the raushni ham
kisi maa ki pari jaisi dua thi
jo bacchi khelti thi nange pairo'n
vo pehli rut ki hi jaise ghatta thi
ratan jaana tha jis ko manthano ka
ghadi vo zindagi bhar ki saza thi
bhanwar the daayron ke aasmaan mein
ye gardish ek nuqte ki khata thi
हर इक लब पर ख़मोशी की सदा थी
दुआओं में बदलती सी हवा थी
कुशादा फैलते आँगन दिलों के
सभी के वास्ते घर में जगह थी
जिसे समझे हुए थे रौशनी हम
किसी माँ की परी जैसी दुआ थी
जो बच्ची खेलती थी नंगे पैरों
वो पहली रुत की ही जैसे घटा थी
रतन जाना था जिस को मंथनों का
घड़ी वो ज़िंदगी भर की सज़ा थी
भँवर थे दाएरों के आसमाँ में
ये गर्दिश एक नुक़्ते की ख़ता थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Qamar
our suggestion based on Deepak Qamar
As you were reading Environment Shayari Shayari