sun rahe hain koi taara sair karta aayega
jaane kya paighaam dharti ke liye vo laayega
phool ik din khwahishon ka dhoop mein kumhlaayega
pattiyaan bikrenge us ki beej hi rah jaayega
baant kar aayega sab kuchh shehar ke bazaar mein
har maheene khaali jeben ghar ko vo dikhlaayega
tu hawaon sa guzar daaman bacha kar raah se
phool ka to kaam hai hans hans ke vo bahkaayega
tukde tukde honge suraj aur sitaare har taraf
kar ke taando sho sabhi brahmaand ko bikhraayega
us ke gusse se bagule uth rahein hain dhoop mein
garm dil sehra jo bola aag hi barsaayega
ek hi chubhta sa kaanta un ki parton mein nahin
phool si baatein hain us ki sab ko hi mehkaayega
सुन रहे हैं कोई तारा सैर करता आएगा
जाने क्या पैग़ाम धरती के लिए वो लाएगा
फूल इक दिन ख़्वाहिशों का धूप में कुम्हलाएगा
पत्तियाँ बिखरेंगी उस की बीज ही रह जाएगा
बाँट कर आएगा सब कुछ शहर के बाज़ार में
हर महीने ख़ाली जेबें घर को वो दिखलाएगा
तू हवाओं सा गुज़र दामन बचा कर राह से
फूल का तो काम है हँस हँस के वो बहकाएगा
टुकड़े टुकड़े होंगे सूरज और सितारे हर तरफ़
कर के तांडौ शो सभी ब्रह्मांड को बिखराएगा
उस के ग़ुस्से से बगूले उठ रहें हैं धूप में
गर्म दिल सहरा जो बोला आग ही बरसाएगा
एक ही चुभता सा काँटा उन की परतों में नहीं
फूल सी बातें हैं उस की सब को ही महकाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepak Qamar
our suggestion based on Deepak Qamar
As you were reading Dhoop Shayari Shayari