har parinde ki baat sunta hai | हर परिंदे की बात सुनता है

  - Deepak Qamar

har parinde ki baat sunta hai
be-zabaan ped sab se achha hai

jis qadar ham ne bhed samjha hai
koi manzil na koi rasta hai

in andheron ko kis liye kosen
raushni ban ke phool khilta hai

chalne waala nikal gaya aage
qaafila raaste mein thehra hai

jis ki khaatir hain jaagte rahe ham
vo abhi paalne mein sota hai

in dinon main hoon tanhaa tanhaa sa
ek gum-sum khayal rehta hai

be-gharon ke qadam nahin rukte
un ka aangan tamaam duniya hai

dil bahalta hujoom mein rah kar
khud se darta hua vo tanhaa hai

kal ki baaton se be-khabar ham hain
saath janmon ka kya bharosa hai

हर परिंदे की बात सुनता है
बे-ज़बाँ पेड़ सब से अच्छा है

जिस क़दर हम ने भेद समझा है
कोई मंज़िल न कोई रस्ता है

इन अँधेरों को किस लिए कोसें
रौशनी बन के फूल खिलता है

चलने वाला निकल गया आगे
क़ाफ़िला रास्ते में ठहरा है

जिस की ख़ातिर हैं जागते रहे हम
वो अभी पालने में सोता है

इन दिनों मैं हूँ तन्हा तन्हा सा
एक गुम-सुम ख़याल रहता है

बे-घरों के क़दम नहीं रुकते
उन का आँगन तमाम दुनिया है

दिल बहलता हुजूम में रह कर
ख़ुद से डरता हुआ वो तन्हा है

कल की बातों से बे-ख़बर हम हैं
सात जन्मों का क्या भरोसा है

  - Deepak Qamar

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepak Qamar

As you were reading Shayari by Deepak Qamar

Similar Writers

our suggestion based on Deepak Qamar

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari