saza dena hai to aisi saza de
kisi se ishq karna hi sikha de
mujhe phir kuchh duaaein maangni hain
ufuq se phir koi taara gira de
vo tujh ko aazmaana chahta hai
tu apne sabr se us ko haraa de
agar jaana hai to jaaye vo lekin
sabab to chhod jaane ka bata de
banaaun koi to aisi khabar mein
khabar us ko jo andar tak hila de
bas itni raushni ki aarzoo hai
jo mere saaye se mujh ko mila de
main khud se baat jee bhar kar sakoon bas
mujhe itni hawa itni fazaa de
सज़ा देना है तो ऐसी सज़ा दे
किसी से इश्क़ करना ही सिखा दे
मुझे फिर कुछ दुआएँ माँगनी हैं
उफ़ुक़ से फिर कोई तारा गिरा दे
वो तुझ को आज़माना चाहता है
तू अपने सब्र से उस को हरा दे
अगर जाना है तो जाए वो लेकिन
सबब तो छोड़ जाने का बता दे
बनाऊँ कोई तो ऐसी ख़बर में
ख़बर उस को जो अंदर तक हिला दे
बस इतनी रौशनी की आरज़ू है
जो मेरे साए से मुझ को मिला दे
मैं ख़ुद से बात जी भर कर सकूँ बस
मुझे इतनी हवा इतनी फ़ज़ा दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepali Agarwal
our suggestion based on Deepali Agarwal
As you were reading Pollution Shayari Shayari