bas ab duniya se parda chahti hoon
mein sab se door rahna chahti hoon
sitaaron ki tarah ya gul ke jaise
jawaani mein hi marna chahti hoon
vo ek tasveer jo banti nahin hai
usi mein rang bharna chahti hoon
kitaabon ko utha kar god mein yun
main koi she'r kehna chahti hoon
mujhe bhi ilm hai duniya ka saara
main dheemi maut marna chahti hoon
बस अब दुनिया से पर्दा चाहती हूँ
में सब से दूर रहना चाहती हूँ
सितारों की तरह या गुल के जैसे
जवानी में ही मरना चाहती हूँ
वो एक तस्वीर जो बनती नहीं है
उसी में रंग भरना चाहती हूँ
किताबों को उठा कर गोद में यूँ
मैं कोई शे'र कहना चाहती हूँ
मुझे भी इल्म है दुनिया का सारा
मैं धीमी मौत मरना चाहती हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deepali Agarwal
our suggestion based on Deepali Agarwal
As you were reading Education Shayari Shayari