ishq ka panna kahi moda gaya hai | इश्क़ का पन्ना कहीं मोड़ा गया है

  - Deepali Agarwal

ishq ka panna kahi moda gaya hai
phool ik gul daan se toda gaya hai

ishq ki raahon ka mujh ko kya pata hai
beech raaste mein mujhe chhodaa gaya hai

man kisi sheeshe sareekha ho chala hai
dik hi jaata hai kahaan joda gaya hai

door jaane ki kahi thi baat us ne
rah gaya thoda yahan thoda gaya hai

dil usi ko chahta hai toot kar ke
jis ke haathon baarha toda gaya hai

इश्क़ का पन्ना कहीं मोड़ा गया है
फूल इक गुल दान से तोड़ा गया है

इश्क़ की राहों का मुझ को क्या पता है
बीच रस्ते में मुझे छोड़ा गया है

मन किसी शीशे सरीखा हो चला है
दिख ही जाता है कहाँ जोड़ा गया है

दूर जाने की कही थी बात उस ने
रह गया थोड़ा यहाँ थोड़ा गया है

दिल उसी को चाहता है टूट कर के
जिस के हाथों बारहा तोड़ा गया है

  - Deepali Agarwal

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepali Agarwal

As you were reading Shayari by Deepali Agarwal

Similar Writers

our suggestion based on Deepali Agarwal

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari