ajab kashmakash hai ajab hai kashaaksh ye kya beech mein hai hamaare tumhaare | अजब कश्मकश है अजब है कशाकश ये क्या बीच में है हमारे तुम्हारे

  - Deepti Mishra

ajab kashmakash hai ajab hai kashaaksh ye kya beech mein hai hamaare tumhaare
zaroorat zaroorat zaroorat zaroorat zaroorat ki khaatir maraasim hain saare

hain chaaron taraf hi bahut log lekin haqeeqat mein koi bhi apna nahin hai
dikhaava dikhaava sabhi kuchh dikhaava dikhaave mein jeete hain saare ke saare

bulandi pe jin ko bhi dekha ye paaya sabhi aasraa dhoondte phir rahe hain
kise sarparasti ke qaabil samjhiye jiye ja rahe hain khud apne sahaare

sabhi apni apni kahe ja rahe hain hamein ham se cheene liye ja rahe hain
hamein apni khaatir bhi rahne do thoda nahin koi apna siva ab hamaare

hamein apni zad mein hi rahna padega khudi ko khudi mein dubona padega
na aape se baahar tu aana samundar samundar ko samjha rahe hain kinaare

faqat dooriyon mein hi saari kashish hai ki nazdeekiyon se bharam tootte hain
falak pe chamakna hai qismat hamaari zameen se ye kahte hain toote sitaare

ye jhoote se rishte ye farzi se naate kahaan tak nibhaayein kahaan tak nibhaayein
bahut ho chuka bas bahut ho chuka ab koi to badhe ye makhote utaare

अजब कश्मकश है अजब है कशाकश ये क्या बीच में है हमारे तुम्हारे
ज़रूरत ज़रूरत ज़रूरत ज़रूरत ज़रूरत की ख़ातिर मरासिम हैं सारे

हैं चारों तरफ़ ही बहुत लोग लेकिन हक़ीक़त में कोई भी अपना नहीं है
दिखावा दिखावा सभी कुछ दिखावा दिखावे में जीते हैं सारे के सारे

बुलंदी पे जिन को भी देखा ये पाया सभी आसरा ढूँडते फिर रहे हैं
किसे सरपरस्ती के क़ाबिल समझिए जिए जा रहे हैं ख़ुद अपने सहारे

सभी अपनी अपनी कहे जा रहे हैं हमें हम से छीने लिए जा रहे हैं
हमें अपनी ख़ातिर भी रहने दो थोड़ा नहीं कोई अपना सिवा अब हमारे

हमें अपनी ज़द में ही रहना पड़ेगा ख़ुदी को ख़ुदी में डुबोना पड़ेगा
न आपे से बाहर तू आना समुंदर समुंदर को समझा रहे हैं किनारे

फ़क़त दूरियों में ही सारी कशिश है कि नज़दीकियों से भरम टूटते हैं
फ़लक पे चमकना है क़िस्मत हमारी ज़मीं से ये कहते हैं टूटे सितारे

ये झूटे से रिश्ते ये फ़र्ज़ी से नाते कहाँ तक निभाएँ कहाँ तक निभाएँ
बहुत हो चुका बस बहुत हो चुका अब कोई तो बढ़े ये मखोटे उतारे

  - Deepti Mishra

Attitude Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepti Mishra

As you were reading Shayari by Deepti Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Deepti Mishra

Similar Moods

As you were reading Attitude Shayari Shayari