sab kuchh jhooth hai lekin phir bhi bilkul saccha lagta hai | सब कुछ झूट है लेकिन फिर भी बिल्कुल सच्चा लगता है

  - Deepti Mishra

sab kuchh jhooth hai lekin phir bhi bilkul saccha lagta hai
jaan-boojh kar dhoka khaana kitna achha lagta hai

eent aur patthar mitti gaare ke mazboot makaanon mein
pakki deewaron ke peeche har ghar kaccha lagta hai

aap banata hai pehle phir apne aap mitaata hai
duniya ka khaaliq ham ko ik ziddi baccha lagta hai

is ne saari qasmen todhen saare wa'de jhoote the
phir bhi ham ko us ka hona ab bhi achha lagta hai

use yaqeen hai be-imaani bin vo baazi jeetega
achha insaan hai par abhi khilaadi kaccha lagta hai

सब कुछ झूट है लेकिन फिर भी बिल्कुल सच्चा लगता है
जान-बूझ कर धोका खाना कितना अच्छा लगता है

ईंट और पत्थर मिट्टी गारे के मज़बूत मकानों में
पक्की दीवारों के पीछे हर घर कच्चा लगता है

आप बनाता है पहले फिर अपने आप मिटाता है
दुनिया का ख़ालिक़ हम को इक ज़िद्दी बच्चा लगता है

इस ने सारी क़स्में तोड़ें सारे वा'दे झूटे थे
फिर भी हम को उस का होना अब भी अच्छा लगता है

उसे यक़ीं है बे-ईमानी बिन वो बाज़ी जीतेगा
अच्छा इंसाँ है पर अभी खिलाड़ी कच्चा लगता है

  - Deepti Mishra

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Deepti Mishra

As you were reading Shayari by Deepti Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Deepti Mishra

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari